vaah bī municipality jaan kyā kahnā tirā
tū chachī lailā kī āshiq terā majnūñ kā chachā
apnī ḳhuddārī ko kho kar tujh pe jo shaidā huā
be-ḳhudī meñ ye zabān-e-hāl se kahte sunā
bas-ki dīvāna shudam aql-e-rasā darkār niist
āshiq-e-municipality rāhiyā darkār niist
terā ḳhvāhish-mand har qaid-e-līyāqat se barī
jis kā jī chāhe laḌe aur laḌ ke le le membarī
ahd-e-āzādī ne aisī Daal dī hai abtarī
ab to har tānīs aur tazkīr meñ hai hamsarī
tujh ko kyā ranDī hai koī yā ki ranDī-bāz hai
terā darvāza kas-o-nā-kas ke uupar baaz hai
jam.a kar de qarz hī le kar zamānat ke pachās
duur hotī jaa.e ġhairat jab election aa.e paas
votaroñ ke haath joḌe ḳhuub ho kar bad-havās
giḌgiḌā kar har kas-o-nā-kas se ho ye iltimās
rehn parche ke evaz izzat mirī kar lījiye
apne bachchoñ kā tasadduq vote mujh ko dījiye
suniye ik sāhab kā qissa jab huī shāmat savār
ye zamānat kar ke dāḳhil ban ga.e ummīd-vār
chhoḌ pesha tark farmāyā jo kuchh thā kārobār
kuchh asās-ul-bait bechā kuchh liyā suudī udhār
muztarib rahte the ye nām-āvarī ke vāste
ghar se nikle vote lene membarī ke vāste
sab se pahle un ko jis voter ke ghar jaanā paḌā
shaiḳh buddhū naam thā aur thā julāhā qaum kā
dhotī bāñdhe marza.ī pahne tanā baiThā huā
ik saḌī miTTī kā huqqa pī rahā thā kaj-adā
jaate hī taslīm kī jab is ko bā-sad-ehtirām
muñh ko TeḌhā kar ke bolā ko hai bālekum-salām''
bole ye pahle na aayā maiñ huā itnā qusūr
shaiḳh buddhū aap mujh par rahm farmā.eñ huzūr
aap ko vālid kahā karte the bhaa.ī ab se duur
maiñ bhatījā aap kā huuñ vote le lūñgā zarūr
bole buddhū kā kahiyo ham kehkā kehkā boTe deī
boTe pahiye uu jo tirte hamkā das kā note de.ī
jab surtedār bolā laa.e ho kauno gavāh
ham kahā sasūrā jamādarvā kihis ham kā tabāh
ham julāhā aap ke aur aap Thahre bādshāh
kaun kah ke sāmne mūtat hai sāhab vaah vaah
hañs ke kah deneñ mujhaD siikh jī jaao barī
rah ga.ī muñh haa.e ke sab lambaran kī lambarī
sun liyo saarī kathā diiho ki nāhīñ ye batāo
bote māñge aa.e ho ham se to ham kā kuchh dilāo
kar chikan bakvās ab bhayyā na hamrā muuḌ khaao
kah diyā bas kah diyā ab jaao chuppe ghar kā jaao
jo rakam tum se kahā sab peshgī le leb ham
boot de motor pe le jahiyo to haañ de deb ham
jab miyāñ buddhū ke tevar is qadar dekhe kaḌe
dahne baa.eñ dekh jhaT qadmoñ pe is ke gir paḌe
dil meñ pachhtā.e ki āḳhir kyuuñ hue the ham khaḌe
kahiye aise jāhiloñ se kyā koī kushtī laḌe
aabrū ke saath de kar pāñch raazī kar liyā
kāmyābī par hue ḳhush taao moñchhoñ par diyā
aage baḌh kar ek hazrat kā huā phir sāmnā
un se jā kar is tarah kī arz bā-sad-iltijā
banda parvar ek maz.hab hai hamārā aap kā
vote dījegā jo mujh ko aap ḳhush hogā ḳhudā
haiñ mire halqe meñ jo jo mere maz.hab ke ḳhilāf
dekhiye member zarā ho luuñ to kar duuñ sab ko saaf
mehtarāñ ke dar pe jhāḌū dene aa.e kyā majāl
aur saqqā mushk se naalī dhulā.e kyā majāl
tex ghar-vāre kā un par bañdh nā jaa.e kyā majāl
le leñ bambā ghar meñ be meter lagā.e kyā majāl
naach tignī kā inheñ ab maiñ nachā.ūñgā huzūr
dekhe kis kis tarah un ko satā.ūñgā huzūr
ḳhush hue sun kar janāb-e-maulvī-e-maktabī
haath pherā riish par aur is tarah taqrīr kī
aap is ke ahal haiñ merī nazar meñ vāqa.ī
zāt-e-sāmī ko samajhtā huuñ maiñ faḳhr-e-membarī
mohtaram maiñ va.ade qabl-az-vaqt kar saktā nahīñ
farz hai īfā-e-va.ada phir mukar saktā nahīñ
is meñ ik ishkāl-e-shara.ī aur bhī hai kyā kahūñ
meñ iānat aap kī bil-farz qirtāsan karūñ
raa.e to apnī hiba kar duuñ evaz kuchh bhī na luuñ
kyuuñ badal zaa.e.a karūñ kis vāste musrif banūñ
jāntā huuñ ye ki merī raa.e hai kitnī vāqī.a
muft zaa.e.a kyuuñ karūñ jab maiñ nahīñ hū mustatī.a
hasb-e-ḳhvāhish gar badal mujh ko atā kar deñ janāb
kyā ajab pesh-e-ḳhudā mājūr bhī huuñ aur masāb
maiñ ne dikhlā dī hudūd-e-shar.a meñ rāh-e-savāb
mere māruzāt ko farmā.iye gar mustajāb
raa.e de dene meñ ahqar ko ta.ammul kuchh na ho
ḳhud karūñ tājīl hatman phir tasāhul kuchh na ho
raa.e de dūñgā evaz maiñ aap ko ḳhamsīn ke
itne hī milte haiñ mujh ko va.az ke talqīn ke
hazrat-e-vālā to ḳhud pāband haiñ aa.iin ke
is se kam denā murādif hai mirī tauhīn ke
haañ ye mumkin hai ki kuchh taqlīl farmā dījiye
hai ye kār-e-ḳhair ab tājīl farmā dījiye
ḳhullas-e-ahbāb se kyuuñ istishāra kījiye
raaz poshīda rahe kyuuñ āshkāra kījiye
sab se achchhā hai zarā zahmat gavārā kījiye
lījiye tasbīh mujh se istiḳhāra kījiye
arz kī hai maiñ ne jo itnī raqam par dekhiye
man.a jab aa.e to phir kuchh is se kam par dekhiye
ye nihāyat kaa.eñ the dil meñ ye bole soch ke
shakl to achchhī hai par zebā nahīñ mere liye
istiḳhāra maiñ karūñ kyā aap ke hote hue
kartā huuñ niyyat to maiñ aap istiḳhāra kījiye
niyyat un ke dil meñ thī tasbīh un ke haath meñ
chuhā apnī ghaat meñ thā billī apnī ghaat meñ
man.a aaya istiḳhāra chhūTte hī pahlī baar
maulvī sāhab ke chehre par huā kuchh antr-jār
phir jo dekhā vājib aaya ho be-iḳhtiyār
pūchhā niyyat kis qadar par kī thī bahr-e-ḳhāksār
bole niyyat das pe kī thī lījiye banda-navāz
kāmyābī kī duā farmā.iye ba.ad-az-namāz
is jagah se uTh ke ghar par ek sāhab ke liye
das baras nākām rahne par hue the jo b a
railway meñ the mulāzim ḳhud bhī the chalte hue
aap kī tanḳhvāh to kam ThāTh the lekin baḌe
english style pe rahne kā jo un ko shauq thā
boot batri paañv kī collar gale kā tauq thā
phuus ke chhappar meñ rahte the ye is sāmān se
aur furniture to ḳhārij un ke thā imkān se
TuuTī phūTī kursiyāñ le kar kisī dūkān se
baiThte the un pe chhappar meñ nihāyat shaan se
naam ik taḳhtī pe likh rakhā thā yuuñ bahr-e-vaqār
mister abrāhām b-a T T c e aa.ī aar
dekh kar sūrat ko un kī is tarah kahne lage
aa.ī aim very busy make heast jaldī boliye
phir udhar Tahle idhar Tahle ghaḌī ko dekh kar
apne kutte se kahā kam suun un se go away
phir kahāñ u aar candidate baT no bold man
tum ko apnī vote kaise degā sāhab old man
chūñki candidate añgrezī samajhte hī na the
giḌgiḌā kar is tarah sāhab se farmāne lage
ye to mumkin hī nahīñ hai aap paidal jā.iye
maiñ ne motor maañg lī hai aap hī ke vāste
aur kyūñkar is tarah chaliyegā mujh ko dene vote
kiije pocket book pe tārīḳh-e-election jald note
baat añgrezī-numā urdu meñ yuuñ sāhab ne kī
ham kahā english meñ Tum samjhā nahīñ o aa.ī c
dekho apnī vote rakhnī māñTgā hai ham frē
kis ko degā pahle baTlāne nahīñ sakTā koī
ham city father nahīñ tum ko banānā māñgTā
D.m. phir motor pe ham kaahe ko jaanā māñgTā
ho ke jab māyūs ye palTe vahāñ se muñh banā.e
dil meñ kahte the ki in kā vote to jaanā hai haa.e
saal bhar pahle baḌe din meñ jo Daalī de to paa.e
ab ba-juz is ke koī sūrat nahīñ bantī banā.e
fees de kar nurse ik bahr-e-sifārish lā.ūñgā
chal gayā chakma to un se vote phir le jā.ūñgā
phir baḌhe aage yahāñ se vote ke armān meñ
ghus paḌe ye ek buz qassāb kī dūkān meñ
nasr meñ paḌh kar qasīda pahle us kī shaan meñ
chāhte the ye kahīñ kuchh shaiḳh jī ke kaan meñ
yuuñ kanautī ko badal kar shaiḳh sāhab ne kahā
suniye hajrat ham lagī lipTī nahīñ rakhte jarā
chaudharī ne kal kahā thā ham se ai bhayyā sukūr
siikh munne jis ko kah deñ boot de denā jarūr
par manāhī kar ga.e jab maulbī abdul gafūr
rafjī ko bote de sakte nahīñ ham to hujūr
sunte haiñ kurān meñ farmā ga.e the khud rasūl
diin kī jab baat Thahrī dakhl denā be fajūl
vaañ kutub-ud-dīn bhī kahte the sachchī hai ye baat
gair majhab vaale ko lambar banānā bā-hiyāt
siikh jī majhab tumhārā aur un kī aur jaat
ho ke lambar vo khudā jaane kareñ kiyā vārdāt
haañ koī majhab kā apne ho to is ko bote do
jab tumheñ maukā mile aisoñ ko bhayyā choT do
in ko buz qassāb ne jab de diyā rūkhā javāb
ye uThe dūkān se māyūs bā-chashm-e-pur-āb
apne worker se kahā jā kar ki suniye to janāb
aap hī tadbīr ab kuchh kījiye us kī shitāb
sarf kī parvā nahīñ jo ho munāsib kījiye
shaiḳh jī ke vote ko lekin na jaane dījiye
dil meñ worker ḳhush hue kahne lage bā-sad surūr
is taraf se aap bilkul mutma.in rahiye huzūr
aur logoñ se zyāda sarf to hogā zarūr
to sahī jab aap hī ko vote deñ abdushshukūr
piir louTan shaah kī ḳhidmat meñ jaatā huuñ abhī
hukm un kā shaiḳh jī ke paas laatā huuñ abhī
piir loTan shaah the ik ḳhāndānī takiya-dār
aañkh meñ surma ka.ī rattī gale meñ chand haar
rīsh-e-aqdas paan ke dhabboñ se rashk-e-lāla zaar
gerua kurtā gale meñ haath meñ ik pusht ḳhaar
zard tahmad paañv meñ lakḌī kī ūñchī c khaḌā.ūñ
ghūmte phirte the yūñhī shahr shahr aur gaañv gaañv
pahuñche worker un kī ḳhidmat meñ ba-tājīl-e-tamām
do rūpa.e nazrāne ke de kar kiyā jhuk kar salām
arz kī haiñ aap to hājat ravā-e-ḳhās-o-ām
shaiḳh jī kā vote dilvā dījiye bas hai ye kaam
chūñki hazrat kī haiñ bai.at meñ miyāñ abdushshukūr
aap farmā deñ agar tū vote de deñge zarūr
aap kī dāvat kā kal ghar par karūñgā intizām
shaiḳh jī ko bhī bulā lūñgā vahīñ par vaqt-e-shām
tazkire meñ vote kā chheḌūñgā mābain-e-ta.ām
aap un ko hukm de deñ ge to ho jā.egā kaam
bole loTan shaah baabā ḳhush raho dāvat qubūl
ham faqīroñ kī duā se hogā sab matlab husūl
muḳhtasar se ibtidā.ī vāqiye jo kuchh likhe
kyā ajab kaafī hoñ ye public kī ibrat ke liye
is tarah ke voter aur member huuñ jab is qism ke
kahiye is municipality se kise rāhat mile
sākinān-e-shahr ab hoshyār honā chāhiye
member aur voter kā kuchh me.aar honā chāhiye
ḳhatm bhī kar do 'zarīf' ab tum bayān-e-membarī
tā-ba-kai āḳhir rahoge qissa-ḳhvān-e-memberī
ḳhvāb se chauñkeñ zarā jab sar-girān-e-membarī
phir sunā denā unheñ tum dāstān-e-membarī
ab samand-e-fikr kī baag aur jānib moḌ do
sone vaale so ga.e qissa adhūrā chhoḌ do
wah bi municipality jaan kya kahna tera
tu chachi laila ki aashiq tera majnun ka chacha
apni KHuddari ko kho kar tujh pe jo shaida hua
be-KHudi mein ye zaban-e-haal se kahte suna
bas-ki diwana shudam aql-e-rasa darkar nist
aashiq-e-municipality rahiya darkar nist
tera KHwahish-mand har qaid-e-liyaqat se bari
jis ka ji chahe laDe aur laD ke le le membari
ahd-e-azadi ne aisi Dal di hai abtari
ab to har tanis aur tazkir mein hai hamsari
tujh ko kya ranDi hai koi ya ki ranDi-baz hai
tera darwaza kas-o-na-kas ke upar baz hai
jama kar de qarz hi le kar zamanat ke pachas
dur hoti jae ghairat jab election aae pas
wotaron ke hath joDe KHub ho kar bad-hawas
giDgiDa kar har kas-o-na-kas se ho ye iltimas
rehn parche ke ewaz izzat meri kar lijiye
apne bachchon ka tasadduq wote mujh ko dijiye
suniye ek sahab ka qissa jab hui shamat sawar
ye zamanat kar ke daKHil ban gae ummid-war
chhoD pesha tark farmaya jo kuchh tha karobar
kuchh asas-ul-bait becha kuchh liya sudi udhaar
muztarib rahte the ye nam-awari ke waste
ghar se nikle wote lene membari ke waste
sab se pahle un ko jis woter ke ghar jaana paDa
shaiKH buddhu nam tha aur tha julaha qaum ka
dhoti bandhe marzai pahne tana baiTha hua
ek saDi miTTi ka huqqa pi raha tha kaj-ada
jate hi taslim ki jab is ko ba-sad-ehtiram
munh ko TeDha kar ke bola ko hai baalekum-salam
bole ye pahle na aaya main hua itna qusur
shaiKH buddhu aap mujh par rahm farmaen huzur
aap ko walid kaha karte the bhai ab se dur
main bhatija aap ka hun wote le lunga zarur
bole buddhu ka kahiyo hum kehka kehka boTe dei
boTe pahiye u jo tirte hamka das ka note dei
jab surtedar bola lae ho kauno gawah
hum kaha sasura jamadarwa kihis hum ka tabah
hum julaha aap ke aur aap Thahre baadshah
kaun kah ke samne mutat hai sahab wah wah
hans ke kah denen mujhaD sikh ji jao bari
rah gai munh hae ke sab lambaran ki lambari
sun liyo sari katha diho ki nahin ye batao
bote mange aae ho hum se to hum ka kuchh dilao
kar chikan bakwas ab bhayya na hamra muD khao
kah diya bas kah diya ab jao chuppe ghar ka jao
jo rakam tum se kaha sab peshgi le leb hum
boot de motor pe le jahiyo to han de deb hum
jab miyan buddhu ke tewar is qadar dekhe kaDe
dahne baen dekh jhaT qadmon pe is ke gir paDe
dil mein pachhtae ki aaKHir kyun hue the hum khaDe
kahiye aise jahilon se kya koi kushti laDe
aabru ke sath de kar panch raazi kar liya
kaamyabi par hue KHush tao monchhon par diya
aage baDh kar ek hazrat ka hua phir samna
un se ja kar is tarah ki arz ba-sad-iltija
banda parwar ek mazhab hai hamara aap ka
wote dijega jo mujh ko aap KHush hoga KHuda
hain mere halqe mein jo jo mere mazhab ke KHilaf
dekhiye member zara ho lun to kar dun sab ko saf
mehtaran ke dar pe jhaDu dene aae kya majal
aur saqqa mushk se nali dhulae kya majal
tex ghar-ware ka un par bandh na jae kya majal
le len bamba ghar mein be meter lagae kya majal
nach tigni ka inhen ab main nachaunga huzur
dekhe kis kis tarah un ko sataunga huzur
KHush hue sun kar janab-e-maulwi-e-maktabi
hath phera rish par aur is tarah taqrir ki
aap is ke ahal hain meri nazar mein waqai
zat-e-sami ko samajhta hun main faKHr-e-membari
mohtaram main wade qabl-az-waqt kar sakta nahin
farz hai ifa-e-wada phir mukar sakta nahin
is mein ek ishkal-e-sharai aur bhi hai kya kahun
mein ianat aap ki bil-farz qirtasan karun
rae to apni hiba kar dun ewaz kuchh bhi na lun
kyun badal zaea karun kis waste musrif banun
jaanta hun ye ki meri rae hai kitni waqia
muft zaea kyun karun jab main nahin hu mustatia
hasb-e-KHwahish gar badal mujh ko ata kar den janab
kya ajab pesh-e-KHuda majur bhi hun aur masab
main ne dikhla di hudud-e-shara mein rah-e-sawab
mere maruzat ko farmaiye gar mustajab
rae de dene mein ahqar ko tammul kuchh na ho
KHud karun tajil hatman phir tasahul kuchh na ho
rae de dunga ewaz main aap ko KHamsin ke
itne hi milte hain mujh ko waz ke talqin ke
hazrat-e-wala to KHud paband hain aain ke
is se kam dena muradif hai meri tauhin ke
han ye mumkin hai ki kuchh taqlil farma dijiye
hai ye kar-e-KHair ab tajil farma dijiye
KHullas-e-ahbab se kyun istishaara kijiye
raaz poshida rahe kyun aashkara kijiye
sab se achchha hai zara zahmat gawara kijiye
lijiye tasbih mujh se istiKHara kijiye
arz ki hai main ne jo itni raqam par dekhiye
mana jab aae to phir kuchh is se kam par dekhiye
ye nihayat kaen the dil mein ye bole soch ke
shakl to achchhi hai par zeba nahin mere liye
istiKHara main karun kya aap ke hote hue
karta hun niyyat to main aap istiKHara kijiye
niyyat un ke dil mein thi tasbih un ke hath mein
chuha apni ghat mein tha billi apni ghat mein
mana aaya istiKHara chhuTte hi pahli bar
maulwi sahab ke chehre par hua kuchh antr-jar
phir jo dekha wajib aaya ho be-iKHtiyar
puchha niyyat kis qadar par ki thi bahr-e-KHaksar
bole niyyat das pe ki thi lijiye banda-nawaz
kaamyabi ki dua farmaiye baad-az-namaz
is jagah se uTh ke ghar par ek sahab ke liye
das baras nakaam rahne par hue the jo b a
railway mein the mulazim KHud bhi the chalte hue
aap ki tanKHwah to kam ThaTh the lekin baDe
english style pe rahne ka jo un ko shauq tha
boot batri panw ki collar gale ka tauq tha
phus ke chhappar mein rahte the ye is saman se
aur furniture to KHarij un ke tha imkan se
TuTi phuTi kursiyan le kar kisi dukan se
baiThte the un pe chhappar mein nihayat shan se
nam ek taKHti pe likh rakha tha yun bahr-e-waqar
mister abraham b-a T T c e aai aar
dekh kar surat ko un ki is tarah kahne lage
aai aim wery busy make heast jaldi boliye
phir udhar Tahle idhar Tahle ghaDi ko dekh kar
apne kutte se kaha kam sun un se go away
phir kahan u aar candidate baT no bold man
tum ko apni wote kaise dega sahab old man
chunki candidate angrezi samajhte hi na the
giDgiDa kar is tarah sahab se farmane lage
ye to mumkin hi nahin hai aap paidal jaiye
main ne motor mang li hai aap hi ke waste
aur kyunkar is tarah chaliyega mujh ko dene wote
kije pocket book pe tariKH-e-election jald note
baat angrezi-numa urdu mein yun sahab ne ki
hum kaha english mein Tum samjha nahin o aai c
dekho apni wote rakhni manTga hai hum free
kis ko dega pahle baTlane nahin sakTa koi
hum city father nahin tum ko banana mangTa
Dm phir motor pe hum kahe ko jaana mangTa
ho ke jab mayus ye palTe wahan se munh banae
dil mein kahte the ki in ka wote to jaana hai hae
sal bhar pahle baDe din mein jo Dali de to pae
ab ba-juz is ke koi surat nahin banti banae
fees de kar nurse ek bahr-e-sifarish launga
chal gaya chakma to un se wote phir le jaunga
phir baDhe aage yahan se wote ke arman mein
ghus paDe ye ek buz qassab ki dukan mein
nasr mein paDh kar qasida pahle us ki shan mein
chahte the ye kahin kuchh shaiKH ji ke kan mein
yun kanauti ko badal kar shaiKH sahab ne kaha
suniye hajrat hum lagi lipTi nahin rakhte jara
chaudhari ne kal kaha tha hum se ai bhayya sukur
sikh munne jis ko kah den boot de dena jarur
par manahi kar gae jab maulbi abdul gafur
rafji ko bote de sakte nahin hum to hujur
sunte hain kuran mein farma gae the khud rasul
din ki jab baat Thahri dakhl dena be fajul
wan kutub-ud-din bhi kahte the sachchi hai ye baat
gair majhab wale ko lambar banana ba-hiyat
sikh ji majhab tumhaara aur un ki aur jat
ho ke lambar wo khuda jaane karen kiya wardat
han koi majhab ka apne ho to is ko bote do
jab tumhein mauka mile aison ko bhayya choT do
in ko buz qassab ne jab de diya rukha jawab
ye uThe dukan se mayus ba-chashm-e-pur-ab
apne worker se kaha ja kar ki suniye to janab
aap hi tadbir ab kuchh kijiye us ki shitab
sarf ki parwa nahin jo ho munasib kijiye
shaiKH ji ke wote ko lekin na jaane dijiye
dil mein worker KHush hue kahne lage ba-sad surur
is taraf se aap bilkul mutmain rahiye huzur
aur logon se zyaada sarf to hoga zarur
to sahi jab aap hi ko wote den abdushshukur
pir louTan shah ki KHidmat mein jata hun abhi
hukm un ka shaiKH ji ke pas lata hun abhi
pir loTan shah the ek KHandani takiya-dar
aankh mein surma kai ratti gale mein chand haar
rish-e-aqdas pan ke dhabbon se rashk-e-lala zar
gerua kurta gale mein hath mein ek pusht KHar
zard tahmad panw mein lakDi ki unchi c khaDaun
ghumte phirte the yunhi shahr shahr aur ganw ganw
pahunche worker un ki KHidmat mein ba-tajil-e-tamam
do rupae nazrane ke de kar kiya jhuk kar salam
arz ki hain aap to hajat rawa-e-KHas-o-am
shaiKH ji ka wote dilwa dijiye bas hai ye kaam
chunki hazrat ki hain baiat mein miyan abdushshukur
aap farma den agar tu wote de denge zarur
aap ki dawat ka kal ghar par karunga intizam
shaiKH ji ko bhi bula lunga wahin par waqt-e-sham
tazkire mein wote ka chheDunga mabain-e-taam
aap un ko hukm de den ge to ho jaega kaam
bole loTan shah baba KHush raho dawat qubul
hum faqiron ki dua se hoga sab matlab husul
muKHtasar se ibtidai waqiye jo kuchh likhe
kya ajab kafi hon ye public ki ibrat ke liye
is tarah ke woter aur member hun jab is qism ke
kahiye is municipality se kise rahat mile
sakinan-e-shahr ab hoshyar hona chahiye
member aur woter ka kuchh mear hona chahiye
KHatm bhi kar do 'zarif' ab tum bayan-e-membari
ta-ba-kai aaKHir rahoge qissa-KHwan-e-memberi
KHwab se chaunken zara jab sar-giran-e-membari
phir suna dena unhen tum dastan-e-membari
ab samand-e-fikr ki bag aur jaanib moD do
sone wale so gae qissa adhura chhoD do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.