shadid garmi ke mausam mein mushaira
ye mahfil-e-suḳhan thī may ke mahīne meñ
shā.er sabhī nahā.e hue the pasīne meñ
zinda raheñge hashr tak un shā.iroñ ke naam
jo is mushā.ira meñ sunā.e ga.e kalām
sadr-e-mushā.ira ki janāb-e-'ḳhumār' the
bekas the be-vatan the ġharīb-ud-dayār the
'māhir' the be-qarār to 'ahqar' the bad-havās
'kausar' pukārte the ki paanī kā ik glass
'shauq' o 'nushūr' o 'sāhir' o 'shā.er' 'figār' o 'rāz'
ik maqbare meñ dafn the jumla shahīd-e-nāz
aisā bhī ek vaqt nazar se guzar gayā
jab 'sābrī' ke sabr kā paimāna bhar gayā
ye mehmāñ the aur koī mezbāñ na thā
in ''all-indiyoñ'' kā koī qadr-dāñ na thā
garmī se dil-girafta na thā sirf ik 'amīr'
kitne hī shā.iroñ kā vahāñ uTh gayā ḳhamīr
ro ro ke kah rahā thā ik ustād-e-dhāmpur
''mārā dayār-e-ġhair meñ mujh ko vatan se dūr''
al-qissa shā.iroñ kī vo miTTī huī palīd
shā.er samajh rahe the ki ham ab hue shahīd
vo shā.eroñ kā jamm-e-ġhafīr ek hall meñ
dam toḌte hoñ jaise marīz aspatāl meñ
vo tishnagī vo habs vo garmī ki al-amāñ
muñh se nikal paḌī thī ik ustād kī zabāñ
shā.er the band ek cinema ke haal meñ
panchhī phañse hue the shikārī ke jaal meñ
vo pyaas thī ki jām-e-qazā māñgte the log
''vo habs thā ki lū kī duā māñgte the log''
mausam kuchh aisā garm kuchh itnā ḳharāb thā
shā.er jo bazm-e-sher meñ aayā kabāb thā
bazm-e-suḳhan kī raat qayāmat kī raat thī
ham shā.eroñ ke haq meñ shahādat kī raat thī
kuchh ahl-e-zauq laa.e the saath apne tauliyā
nañge badan hī baiThe the kuchh piir o auliyā
pājāma o qamīs na aayā badan ko raas
baiThe the log pahne hue qudratī libās
kaise kahūñ vo ahl-e-adab bevaqūf the
itnā zarūr hai ki vo mausam-prōf the
garmī se muztarib the ye shā.er ye sāma.īn
kahte the ham pe rahm kar ai rabb-e-ālamīn
ye āḳhirī gunāh to ho jaa.e dar-guzar
ab ham mushā.ira meñ na jā.eñge bhuul kar
ye hosh kis ko thā ki vahāñ kis ne kyā kiyā
sab ko ye fikr thī ki mile jald ḳhūñ-bahā
hālāñki jaan bachne kī sūrat na thī koī
hukm-e-ḳhudā ki apnī qazā multavī huī
ye mahfil-e-suKHan thi may ke mahine mein
shaer sabhi nahae hue the pasine mein
zinda rahenge hashr tak un shairon ke nam
jo is mushaira mein sunae gae kalam
sadr-e-mushaira ki janab-e-'KHumar' the
bekas the be-watan the gharib-ud-dayar the
'mahir' the be-qarar to 'ahqar' the bad-hawas
'kausar' pukarte the ki pani ka ek glass
'shauq' o 'nushur' o 'sahir' o 'shaer' 'figar' o 'raaz'
ek maqbare mein dafn the jumla shahid-e-naz
aisa bhi ek waqt nazar se guzar gaya
jab 'sabri' ke sabr ka paimana bhar gaya
ye mehman the aur koi mezban na tha
in all-indiyon ka koi qadr-dan na tha
garmi se dil-girafta na tha sirf ek 'amir'
kitne hi shairon ka wahan uTh gaya KHamir
ro ro ke kah raha tha ek ustad-e-dhampur
mara dayar-e-ghair mein mujh ko watan se dur
al-qissa shairon ki wo miTTi hui palid
shaer samajh rahe the ki hum ab hue shahid
wo shaeron ka jamm-e-ghafir ek hall mein
dam toDte hon jaise mariz aspatal mein
wo tishnagi wo habs wo garmi ki al-aman
munh se nikal paDi thi ek ustad ki zaban
shaer the band ek cinema ke haal mein
panchhi phanse hue the shikari ke jal mein
wo pyas thi ki jam-e-qaza mangte the log
wo habs tha ki lu ki dua mangte the log
mausam kuchh aisa garm kuchh itna KHarab tha
shaer jo bazm-e-sher mein aaya kabab tha
bazm-e-suKHan ki raat qayamat ki raat thi
hum shaeron ke haq mein shahadat ki raat thi
kuchh ahl-e-zauq lae the sath apne tauliya
nange badan hi baiThe the kuchh pir o auliya
pajama o qamis na aaya badan ko ras
baiThe the log pahne hue qudrati libas
kaise kahun wo ahl-e-adab bewaquf the
itna zarur hai ki wo mausam-proof the
garmi se muztarib the ye shaer ye samain
kahte the hum pe rahm kar ai rabb-e-alamin
ye aaKHiri gunah to ho jae dar-guzar
ab hum mushaira mein na jaenge bhul kar
ye hosh kis ko tha ki wahan kis ne kya kiya
sab ko ye fikr thi ki mile jald KHun-baha
haalanki jaan bachne ki surat na thi koi
hukm-e-KHuda ki apni qaza multawi hui
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 473)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.