Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-ashob mein gul-ha-e-wafa kis ko dun

Pasha Rahman

shahr-e-ashob mein gul-ha-e-wafa kis ko dun

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    shahr-e-āshob meñ gul-hā-e-vafā kis ko duuñ

    kaun muḳhlis hai maiñ ilzām-e-vafā kis ko duuñ

    shahr ke shor meñ sahrāoñ sannāTā hai

    der se soch rahā huuñ ki sadā kis ko duuñ

    vo to yūsuf thā magar koī bhī yāqūb nahīñ

    ḳhuuñ meñ Duubī huī maiñ us qabā kis ko duuñ

    shahr meñ vaise mehrbān bahut saare the

    kaun qātil thā mirā haa.e duā kis ko duuñ

    shahr-e-be-dād maiñ har shaḳhs hai patthar 'pāshā'

    kis zanjīr hilā.ūñ maiñ sadā kis ko duuñ

    shahr-e-ashob mein gul-ha-e-wafa kis ko dun

    kaun muKHlis hai main ilzam-e-wafa kis ko dun

    shahr ke shor mein sahraon ka sannaTa hai

    der se soch raha hun ki sada kis ko dun

    wo to yusuf tha magar koi bhi yaqub nahin

    KHun mein Dubi hui main us ki qaba kis ko dun

    shahr mein waise mehrban bahut sare the

    kaun qatil tha mera hae dua kis ko dun

    shahr-e-be-dad main har shaKHs hai patthar 'pasha'

    kis ki zanjir hilaun main sada kis ko dun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now