shaiKH jab zer-e-baam hota hai
shaiḳh jab zer-e-bām hotā hai
kitnā nāzuk maqām hotā hai
ishq aulād kar rahī hai magar
merā jiinā harām hotā hai
jis jagah par hasīn paTte haiñ
is jagah pe ġhulām hotā hai
dil meñ laDDū se phūTte haiñ mire
jab bhī vo ham-kalām hotā hai
shab meñ koī ho us ke ghar lekin
sub.h ko merā naam hotā hai
shaiKH jab zer-e-baam hota hai
kitna nazuk maqam hota hai
ishq aulad kar rahi hai magar
mera jina haram hota hai
jis jagah par hasin paTte hain
is jagah pe ghulam hota hai
dil mein laDDu se phuTte hain mere
jab bhi wo ham-kalam hota hai
shab mein koi ho us ke ghar lekin
subh ko mera nam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.