sharāb-e-arġhavāñ ko shaiḳh pahle to burā samjhe
magar phir rafta rafta sehat-afzā shorbā samjhe
nazar-bāzoñ ko bhī dhoka huā fashion kī chhal-bal se
vo akasr achchhī-ḳhāsī chhokarī ko chhokrā samjhe
hazāroñ saal se police kī taftīsh jaarī hai
hasīnoñ kī kamar ko vo hamesha lāpatā samjhe
huā kashmīr aur punjab meñ ab tak na samjhauta
idhar ye kāñgḌī māñge udhar vo kāñgḌā samjhe
tire āshiq tire kūche ko terī sard-mehrī se
kabhī kashmīr samjhe to kabhī columbia samjhe
na bāñdho gol-chakkar apne sar par zulf-e-pechāñ kā
kahīñ aisā na ho bulbul isī ko ghoñsla samjhe
sharab-e-arghawan ko shaiKH pahle to bura samjhe
magar phir rafta rafta sehat-afza shorba samjhe
nazar-bazon ko bhi dhoka hua fashion ki chhal-bal se
wo akasr achchhi-KHasi chhokari ko chhokra samjhe
hazaron sal se police ki taftish jari hai
hasinon ki kamar ko wo hamesha lapata samjhe
hua kashmir aur punjab mein ab tak na samjhauta
idhar ye kangDi mange udhar wo kangDa samjhe
tere aashiq tere kuche ko teri sard-mehri se
kabhi kashmir samjhe to kabhi columbia samjhe
na bandho gol-chakkar apne sar par zulf-e-pechan ka
kahin aisa na ho bulbul isi ko ghonsla samjhe
Source :
- Book : Shora-e-London (Pg. 50)
- Author : Jauhar Zahiri
-
Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
(1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.