shauhar ki fariyaad
ham apne kamre meñ be-monis-o-be-yār baiThe haiñ
ki drawing-rōm meñ biivī ke rishta-dār baiThe haiñ
yahāñ ham baiTh kar chaa.e ke ik cup ko taraste haiñ
vahāñ sab le ke biscuit cake ke ambār baiThe haiñ
hamārā bas chale to sab ko hī kuchlā khilā deñ ham
magar qānūn se Darte haiñ aur lāchār baiThe haiñ
na chheḌo ham ko ai biibī paḌosan ta.ane de de kar
''tumheñ aThkheliyāñ sūjhī haiñ ham bezār baiThe haiñ''
mire saale ne pūchhā dūlhā bhaa.ī haiñ kahāñ baajī
to vo bolīñ yahīñ par haiñ magar be kaar baiThe haiñ
hamārī billī aur ham se hī myā.ūñ haa.e rī qismat
magar ham kyā kareñ ki qaul apnā haar baiThe haiñ
sabhī shādī-shuda haiñ ġham zada aur ab ye hālat hai
musībat ghar meñ hai aur ḳhud saḌak ke paar baiThe haiñ
zarā jā kar miyāñ hammād-hasan ko bhī tasallī do
ki hazrat shādī kar baiThe haiñ aur be zaar baiThe haiñ
hum apne kamre mein be-monis-o-be-yar baiThe hain
ki drawing-room mein biwi ke rishta-dar baiThe hain
yahan hum baiTh kar chae ke ek cup ko taraste hain
wahan sab le ke biscuit cake ke ambar baiThe hain
hamara bas chale to sab ko hi kuchla khila den hum
magar qanun se Darte hain aur lachaar baiThe hain
na chheDo hum ko ai bibi paDosan tane de de kar
tumhen aThkheliyan sujhi hain hum bezar baiThe hain
mere sale ne puchha dulha bhai hain kahan baji
to wo bolin yahin par hain magar be kar baiThe hain
hamari billi aur hum se hi myaun hae ri qismat
magar hum kya karen ki qaul apna haar baiThe hain
sabhi shadi-shuda hain gham zada aur ab ye haalat hai
musibat ghar mein hai aur KHud saDak ke par baiThe hain
zara ja kar miyan hammad-hasan ko bhi tasalli do
ki hazrat shadi kar baiThe hain aur be zar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.