sitaron se aage jahan aur bhi hain
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
pare se pare se parāñ aur bhī haiñ
abhī to tujhe ek pheñTī lagī hai
abhī to tire imtihāñ aur bhī haiñ
vo ik naar hī to jalātī nahīñ hai
mohalle meñ chiñgāriyāñ aur bhī haiñ
vo khiḌkī nahīñ kholte to na kholeñ
nazar meñ mire bāriyāñ aur bhī haiñ
ye shii.a ye sunnī hai hanafī vahābī
alāva aziiñ firqiyāñ aur bhī haiñ
smuggling kī sugar stocking kā cancer
vaDeroñ ko bīmāriyāñ aur bhī haiñ
yahāñ sirf thāne hī bikte nahīñ haiñ
yahāñ par ka.ī aise thaañ aur bhī haiñ
vo kahte haiñ insāf sastā milegā
to sābit huā peshiyāñ aur bhī haiñ
huā tel kā hī nahīñ mol dugnā
bahut qīmatāñ aisīyāñ aur bhī haiñ
'abīrā' tujhe vo bhī sahnī paḌeñgī
muqaddar meñ jo saḳhtiyāñ aur bhī haiñ
sitaron se aage jahan aur bhi hain
pare se pare se paran aur bhi hain
abhi to tujhe ek phenTi lagi hai
abhi to tere imtihan aur bhi hain
wo ek nar hi to jalati nahin hai
mohalle mein chingariyan aur bhi hain
wo khiDki nahin kholte to na kholen
nazar mein mere bariyan aur bhi hain
ye shia ye sunni hai hanafi wahabi
alawa azin firqiyan aur bhi hain
smuggling ki sugar stocking ka cancer
waDeron ko bimariyan aur bhi hain
yahan sirf thane hi bikte nahin hain
yahan par kai aise than aur bhi hain
wo kahte hain insaf sasta milega
to sabit hua peshiyan aur bhi hain
hua tel ka hi nahin mol dugna
bahut qimatan aisiyan aur bhi hain
'abira' tujhe wo bhi sahni paDengi
muqaddar mein jo saKHtiyan aur bhi hain
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 93)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.