suna hai roz wo hum ko sanwar ke dekhte hain
sunā hai roz vo ham ko sañvar ke dekhte haiñ
ye baat sach hai to un pe bhī mar ke dekhte haiñ
sunā hai logoñ se mahbūb hai mirā ganjā
chalo ki chāñd pe us kī utar ke dekhte haiñ
kareñge āñkh-maTakkā vo kyā paḌosan se
jo log apnī hī biivī ko Dar ke dekhte haiñ
sunā hai shauq hai us ko bhī pahlvānī kā
chalo ki us se bhī do haath kar ke dekhte haiñ
sunā hai chashma lagātā nahīñ gadhā koī
ye baat hai to harī ghaas char ke dekhte haiñ
ga.e zamāne kī bāteñ haiñ shakl aur sūrat
bas ab to ahl-e-nazar ḳham kamar ke dekhte haiñ
sunā hai pyaar hai us ko clean chehroñ se
so ham bhī chehre se dāḌhī katar ke dekhte haiñ
suna hai roz wo hum ko sanwar ke dekhte hain
ye baat sach hai to un pe bhi mar ke dekhte hain
suna hai logon se mahbub hai mera ganja
chalo ki chand pe us ki utar ke dekhte hain
karenge aankh-maTakka wo kya paDosan se
jo log apni hi biwi ko Dar ke dekhte hain
suna hai shauq hai us ko bhi pahlwani ka
chalo ki us se bhi do hath kar ke dekhte hain
suna hai chashma lagata nahin gadha koi
ye baat hai to hari ghas char ke dekhte hain
gae zamane ki baaten hain shakl aur surat
bas ab to ahl-e-nazar KHam kamar ke dekhte hain
suna hai pyar hai us ko clean chehron se
so hum bhi chehre se daDhi katar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.