suraj
kabhī jab ḳhud se ghabrātā hai sūraj
Tahal kar jī ko bahlātā hai sūraj
tapish jab had se baḌhtī hai badan kī
samundar meñ utar jaatā hai sūraj
miTāne bhuuk apnī muñh añdhere
añdheroñ ko nigal jaatā hai sūraj
savere badliyāñ jab chheḌtī haiñ
tulūa hone se sharmātā hai sūraj
sar-e-maġhrib bujhā detā hai ḳhud ko
sub.h hote hī jal jaatā hai sūraj
zamīñ ko raushnī dene na jaane
kahāñ se raushnī paatā hai sūraj
mahīnoñ tak kahīñ rū-posh rah kar
zamīñ par barf barfātā hai sūraj
kabhī aisā bhī hotā hai zamīñ par
mahīnoñ aag barsātā hai sūraj
savere 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh ko uThāne
mirī khiḌkī meñ aa jaatā hai sūraj
kabhi jab KHud se ghabraata hai suraj
Tahal kar ji ko bahlata hai suraj
tapish jab had se baDhti hai badan ki
samundar mein utar jata hai suraj
miTane bhuk apni munh andhere
andheron ko nigal jata hai suraj
sawere badliyan jab chheDti hain
tulua hone se sharmata hai suraj
sar-e-maghrib bujha deta hai KHud ko
subh hote hi jal jata hai suraj
zamin ko raushni dene na jaane
kahan se raushni pata hai suraj
mahinon tak kahin ru-posh rah kar
zamin par barf barfata hai suraj
kabhi aisa bhi hota hai zamin par
mahinon aag barsata hai suraj
sawere 'KHwah-maKHwah' mujh ko uThane
meri khiDki mein aa jata hai suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.