tai ho gaya hai masala jab intisab ka
tai ho gayā hai mas.ala jab intisāb kā
ab ye bhī koī kaam hai likhnā kitāb kā
khāyā hai sair ho ke ḳhayālī polāv aaj
paanī phir is ke ba.ad piyā hai sarāb kā
dekhī hai ek film purānī to yuuñ lagā
jaise ki koī kaam kiyā hai savāb kā
sugar na ho kisī bhī musalmāñ ko ai ḳhudā
mushkil sā ik savāl hai ye bhī hisāb kā
'anvar' mirī nazar ko ye kis kī nazar lagī
gobhī kā phuul mujh ko lage hai gulāb kā
tai ho gaya hai masala jab intisab ka
ab ye bhi koi kaam hai likhna kitab ka
khaya hai sair ho ke KHayali polaw aaj
pani phir is ke baad piya hai sarab ka
dekhi hai ek film purani to yun laga
jaise ki koi kaam kiya hai sawab ka
sugar na ho kisi bhi musalman ko ai KHuda
mushkil sa ek sawal hai ye bhi hisab ka
'anwar' meri nazar ko ye kis ki nazar lagi
gobhi ka phul mujh ko lage hai gulab ka
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 20)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.