aql ki ghas char gae mamun
aql kī ghaas char ga.e māmūñ
hai ye charchā sudhar ga.e māmūñ
is buḌhāpe meñ tiir ye maarā
ik hasīna pe mar ga.e māmūñ
ban ke baiThe haiñ bhīgī billī kyoñ
kyā mumānī se Dar ga.e māmūñ
ho ga.e band khiḌkī darvāze
jis galī se guzar ga.e māmūñ
kitne rustam the kitne turram ḳhaañ
ab na jaane kidhar ga.e māmūñ
ek miTTī ke Dher kī mānind
dekhī laḌkī Dhasar ga.e māmūñ
mujh ko batlā ke manDī aur navā
ḳhud hī chhakke pe mar ga.e māmūñ
ek hangāma ho gayā 'vāhid'
jab bhī chupke se ghar ga.e māmūñ
aql ki ghas char gae mamun
hai ye charcha sudhar gae mamun
is buDhape mein tir ye mara
ek hasina pe mar gae mamun
ban ke baiThe hain bhigi billi kyon
kya mumani se Dar gae mamun
ho gae band khiDki darwaze
jis gali se guzar gae mamun
kitne rustam the kitne turram KHan
ab na jaane kidhar gae mamun
ek miTTi ke Dher ki manind
dekhi laDki Dhasar gae mamun
mujh ko batla ke manDi aur nawa
KHud hi chhakke pe mar gae mamun
ek hangama ho gaya 'wahid'
jab bhi chupke se ghar gae mamun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.