Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shair ka hun mehman KHuda KHair kare

Rauf Raheem

ek shair ka hun mehman KHuda KHair kare

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    ek shā.ir huuñ mehmān ḳhudā ḳhair kare

    us ke hāthoñ meñ hai dīvān ḳhudā ḳhair kare

    maiñ huuñ lāġhar vo pahlavān ḳhudā ḳhair kare

    merī aafat meñ phañsī jaan ḳhudā ḳhair kare

    niiñd meñ chīḳhtā rahtā hai vo chauvvā chhakkā

    us pe cricket hai shaitān ḳhudā ḳhair kare

    mujh se begam taqābul to faqat itnā hai

    maiñ diyā huuñ to vo tūfān ḳhudā ḳhair kare

    ghar meñ chāval hai na aaTā hai na adrak lahsan

    phir bhī picture hai armān ḳhudā ḳhair kare

    chheḌ kar aayā thā jis shoḳh hasīna ko abhī

    bhaa.ī us hai pahlavān ḳhudā ḳhair kare

    peT meñ aañt nahīñ muñh meñ koī daañt nahīñ

    us pe shādī hai sāmān ḳhudā ḳhair kare

    kitnī ġhazloñ ko ḳhudā jaane sunā.eñge 'rahīm'

    haiñ tarannum meñ jo ġhaltān ḳhudā ḳhair kare

    ek shair ka hun mehman KHuda KHair kare

    us ke hathon mein hai diwan KHuda KHair kare

    main hun laghar wo pahlawan KHuda KHair kare

    meri aafat mein phansi jaan KHuda KHair kare

    nind mein chiKHta rahta hai wo chauwwa chhakka

    us pe cricket ka hai shaitan KHuda KHair kare

    mujh se begam ka taqabul to faqat itna hai

    main diya hun to wo tufan KHuda KHair kare

    ghar mein chawal hai na aaTa hai na adrak lahsan

    phir bhi picture ka hai arman KHuda KHair kare

    chheD kar aaya tha jis shoKH hasina ko abhi

    bhai us ka hai pahlawan KHuda KHair kare

    peT mein aant nahin munh mein koi dant nahin

    us pe shadi ka hai saman KHuda KHair kare

    kitni ghazlon ko KHuda jaane sunaenge 'rahim'

    hain tarannum mein jo ghaltan KHuda KHair kare

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now