jashn-e-masarrat
hamāre saath vaale ghar meñ lagtā hai divālī hai
dar-o-dīvār par hai rang-o-ārā.ish misālī hai
lagā hai bāġhbāñ bhī rāt-din is kī sajāvaT meñ
na.e paude lage mahkī huī phūloñ kī Daalī hai
hai mehmānoñ se raunaq kis qadar in ke yahāñ dekho
ye ḳhāla haiñ vo ḳhālū haiñ ye saalā hai vo saalī hai
koī ghar meñ hī ghanToñ se lagī hai aaj make-up meñ
to koī parlour meñ dopahar se yarġhamālī hai
azīz-o-rishta-dār aa.e hue haiñ duur se saare
samundar paar kar ke saas bhī aane hī vaalī hai
bahut masrūr-o-shādāñ hai udhar jis par nazar Daalo
chamak āñkhoñ meñ sab ke aur sab gāloñ pe laalī hai
emergency meñ lady doctor aur nurse hāzir haiñ
khaḌī hai ambulance jis par lagā parcham hilālī hai
kitchen se aa rahī hai ishtihā-āmez jo ḳhushbū
abhī thāloñ meñ bāvarchī ne biryānī nikālī hai
hameñ dāvat nahīñ bhejī magar khānā to bhejeñge
so ham ne bhī idhar apnī rakābī dho ke Daalī hai
magar ye mājrā kyā hai jo pūchhā ham ne begam se
to bolīñ jheñp kar vo baat kyā is meñ nirālī hai
chhalāñgeñ mārtī phirtī thī jo kal tak mohalle meñ
kahā karte the tum lagtā hai ye shaitāñ kī saalī hai
baḌe nāz-o-ni.am se jis ko paalā hai paḌosan ne
usī naT-khaT sī billī ke vilādat hone vaalī hai
hamare sath wale ghar mein lagta hai diwali hai
dar-o-diwar par hai rang-o-araish misali hai
laga hai baghban bhi raat-din is ki sajawaT mein
nae paude lage mahki hui phulon ki Dali hai
hai mehmanon se raunaq kis qadar in ke yahan dekho
ye KHala hain wo KHalu hain ye sala hai wo sali hai
koi ghar mein hi ghanTon se lagi hai aaj make-up mein
to koi parlour mein dopahar se yarghamali hai
aziz-o-rishta-dar aae hue hain dur se sare
samundar par kar ke sas bhi aane hi wali hai
bahut masrur-o-shadan hai udhar jis par nazar Dalo
chamak aankhon mein sab ke aur sab galon pe lali hai
emergency mein lady doctor aur nurse hazir hain
khaDi hai ambulance jis par laga parcham hilali hai
kitchen se aa rahi hai ishtiha-amez jo KHushbu
abhi thaalon mein bawarchi ne biryani nikali hai
hamein dawat nahin bheji magar khana to bhejenge
so hum ne bhi idhar apni rakabi dho ke Dali hai
magar ye majra kya hai jo puchha hum ne begam se
to bolin jhenp kar wo baat kya is mein nirali hai
chhalangen marti phirti thi jo kal tak mohalle mein
kaha karte the tum lagta hai ye shaitan ki sali hai
baDe naz-o-niam se jis ko pala hai paDosan ne
usi naT-khaT si billi ke wiladat hone wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.