pahle taam phir kalam
halqa-e-fikr-o-suḳhan ne mujhe izzat baḳhshī
ya.anī mehmān ḳhusūsī kī fazīlat baḳhshī
masnad-e-ālī pe lā kar jo biThāyā mujh ko
qad-e-kotāh ko is taur se rif.at baḳhshī
fā.eda ye bhī huā aaj kī is mahfil meñ
ek duuje se mulāqāt kī sūrat baḳhshī
qābil-e-izzat-o-takrīm ḳhvātīn bhī haiñ
un ke hone ne mirī ruuh ko farhat baḳhshī
puurā dīvān hī mausūf sunā baiThe haiñ
jin ko halqe ne yahāñ aaj nizāmat baḳhshī
tiis battīs se na the kam yahāñ shā.ir imshab
sab ko sunñe kī ḳhudā ne mujhe himmat baḳhshī
kuchh tarannum se sunāne pe musir the ġhazleñ
tahat meñ kuchh ne sunā.eñ ye ri.āyat baḳhshī
dīdanī shā.ir-o-sāme' kī hai sūrat is dam
bhuuk ne saare hī chehroñ ko naqāhat baḳhshī
sadr-e-mahfil kā huuñ mamnūn ki is mahfil meñ
baat apnī bhī kahūñ mujh ko ijāzat baḳhshī
ham ne maanā kā abhī aap ko bhī sunñā hai
masnad-e-ālī ko hazrat ne jo zīnat baḳhshī
aap tashrīf yahāñ laa.e yahī kaafī hai
kis qadar aap ne ham sab ko hai izzat baḳhshī
khānā khulne kā hī elaan agar farmā deñ
ham ye samjheñge ki taqrīr-e-sadārat baḳhshī
halqa-e-fikr-o-suKHan ne mujhe izzat baKHshi
yani mehman KHususi ki fazilat baKHshi
masnad-e-ali pe la kar jo biThaya mujh ko
qad-e-kotah ko is taur se rifat baKHshi
faeda ye bhi hua aaj ki is mahfil mein
ek duje se mulaqat ki surat baKHshi
qabil-e-izzat-o-takrim KHwatin bhi hain
un ke hone ne meri ruh ko farhat baKHshi
pura diwan hi mausuf suna baiThe hain
jin ko halqe ne yahan aaj nizamat baKHshi
tis battis se na the kam yahan shair imshab
sab ko sunne ki KHuda ne mujhe himmat baKHshi
kuchh tarannum se sunane pe musir the ghazlen
tahat mein kuchh ne sunaen ye riayat baKHshi
didani shair-o-same' ki hai surat is dam
bhuk ne sare hi chehron ko naqahat baKHshi
sadr-e-mahfil ka hun mamnun ki is mahfil mein
baat apni bhi kahun mujh ko ijazat baKHshi
hum ne mana ka abhi aap ko bhi sunna hai
masnad-e-ali ko hazrat ne jo zinat baKHshi
aap tashrif yahan lae yahi kafi hai
kis qadar aap ne hum sab ko hai izzat baKHshi
khana khulne ka hi elan agar farma den
hum ye samjhenge ki taqrir-e-sadarat baKHshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.