raqs mein aaj chaarpai hai
raqs meñ aaj chārpā.ī hai
khaTmaloñ kī bārāt aa.ī hai
aaj bistar zamīn par kar leñ
ye chuġhul-ḳhor chārpā.ī hai
aa.eñ ġhālib bhī to kahāñ baiThe
TaaT hai ghar meñ nā chatā.ī hai
us ne chappal bhī chuum kar maarī
ye bhī andāz-e-dil-rubā.ī hai
dekh kar mujh ko hañs paḌe haiñ vo
kis qadar dard-āshnā.ī hai
muskurāte haiñ gāliyāñ sun kar
ye siyāsat kī be-hayā.ī hai
baasī roTī hī vaqt par de do
ye bafātī bhī ghar jamā.ī hai
'be-takalluf' rakheñge yaad sabhī
jo hazal aap ne sunā.ī hai
raqs mein aaj chaarpai hai
khaTmalon ki baraat aai hai
aaj bistar zamin par kar len
ye chughul-KHor chaarpai hai
aaen ghaalib bhi to kahan baiThe
TaT hai ghar mein na chatai hai
us ne chappal bhi chum kar mari
ye bhi andaz-e-dil-rubai hai
dekh kar mujh ko hans paDe hain wo
kis qadar dard-ashnai hai
muskuraate hain galiyan sun kar
ye siyasat ki be-hayai hai
basi roTi hi waqt par de do
ye bafati bhi ghar jamai hai
'be-takalluf' rakhenge yaad sabhi
jo hazal aap ne sunai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.