shair ka laKHt-e-jigar
mere ghar meñ tū jo ai nūr-e-nazar paidā huā
ḳhush-nasībī hai tirī shā.ir ke ghar paidā huā
terī bahneñ aur bhaa.ī sab ke sab haiñ nā-bakār
ek lashkar go ki tujh se peshtar paidā huā
zauq-e-sher-o-shā.irī bilkul kisī meñ bhī nahīñ
in meñ se har ek bas jaise sifar paidā huā
baap ke naqsh-e-qadam par tū chalegā hai yaqīñ
mere jaisā dīda-var bār-e-digar paidā huā
log terī shā.irī sun kar kaheñge barmalā
'mīr' phir paidā huā hai phir 'jigar' paidā huā
chāhte to the mire aġhyār tū paidā na ho
phir bhī ye himmat hai terī tū agar paidā huā
maiñ baḌā hairān thā aur sochtā thā baar baar
kis tarah ye sāhab-e-ilm-o-hunar paidā huā
āḳhirash uqda ye kholā maañ ne terī ek din
kyā jatan karne pe ye jān-e-pidar paidā huā
pī ga.ī thī ghol kar 'āzād' kī āb-e-hayāt
tab kahīñ ghar meñ mire tujh sā pisar paidā huā
mere ghar mein tu jo ai nur-e-nazar paida hua
KHush-nasibi hai teri shair ke ghar paida hua
teri bahnen aur bhai sab ke sab hain na-bakar
ek lashkar go ki tujh se peshtar paida hua
zauq-e-sher-o-shairi bilkul kisi mein bhi nahin
in mein se har ek bas jaise sifar paida hua
bap ke naqsh-e-qadam par tu chalega hai yaqin
mere jaisa dida-war bar-e-digar paida hua
log teri shairi sun kar kahenge barmala
'mir' phir paida hua hai phir 'jigar' paida hua
chahte to the mere aghyar tu paida na ho
phir bhi ye himmat hai teri tu agar paida hua
main baDa hairan tha aur sochta tha bar bar
kis tarah ye sahab-e-ilm-o-hunar paida hua
aaKHirash uqda ye khola man ne teri ek din
kya jatan karne pe ye jaan-e-pidar paida hua
pi gai thi ghol kar 'azad' ki aab-e-hayat
tab kahin ghar mein mere tujh sa pisar paida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.