shab-e-wada idhar mujhko hansi si aai jati hai
shab-e-va.ada idhar mujh ko hañsī sī aa.ī jaatī hai
udhar un kī nazar hai ḳhud-baḳhud sharmā.ī jaatī hai
abe saale rahā hai raat bhar dushman ke pahlū meñ
tire chehre se kuchh sharmindagī sī paa.ī jaatī hai
diyā karte haiñ mujh ko ātishīñ ruḳhsār kā bosa
samajhtā huuñ tabī.at ab merī garmā.ī jaatī hai
buḌhāpā hai ki mujh par rāt-din vo aa.e jaatā hai
javānī hai ki tujh par raat aur din chhā.ī jaatī hai
shab-e-va.ada unheñ saḳhtī se maiñ lipTā to farmāyā
ajī chhoḌo tabī.at ab merī ghabrā.ī jaatī hai
ye aisā kaam hai jo saat pardoñ meñ nahīñ chhuptā
kahīñ bhī hoñ hazāroñ kos tak rusvā.ī jaatī hai
merī ḳhalvat meñ rakkhī haiñ barahna terī tasvīreñ
tabī.at bas unhīñ se rāt-din bahlā.ī jaatī hai
shab-e-va.ada bhī koshish kar rahe haiñ mujh se bachne kī
kuchh aisī baat mere kaan meñ samjhā.ī jaatī hai
abe maiñ jāntā huuñ us meñ koī raaz pinhāñ hai
raqīboñ se mere sar kī qasam jo khaa.ī jaatī hai
hazāroñ raat guzrīñ is tarah se dil ko bahlāte
vo ab aate haiñ ab tashrīf un kī aa.ī jaatī hai
zamāna ho gayā is kaam ko is baat ko guzre
magar chehre pe ab bhī sharm sī kuchh paa.ī jaatī hai
javānī kā zamāna phir javānī kā zamāna hai
bache insān kitnā hī tabī.at aa.ī jaatī hai
kalām achchhā sunā.e yā sunā.e fuhsh vo ġhazleñ
janāb-e-'būm' se mahfil meñ raunaq aa.ī jaatī he
shab-e-wada idhar mujh ko hansi si aai jati hai
udhar un ki nazar hai KHud-baKHud sharmai jati hai
abe sale raha hai raat bhar dushman ke pahlu mein
tere chehre se kuchh sharmindagi si pai jati hai
diya karte hain mujh ko aatishin ruKHsar ka bosa
samajhta hun tabiat ab meri garmai jati hai
buDhapa hai ki mujh par raat-din wo aae jata hai
jawani hai ki tujh par raat aur din chhai jati hai
shab-e-wada unhen saKHti se main lipTa to farmaya
aji chhoDo tabiat ab meri ghabrai jati hai
ye aisa kaam hai jo sat pardon mein nahin chhupta
kahin bhi hon hazaron kos tak ruswai jati hai
meri KHalwat mein rakkhi hain barahna teri taswiren
tabiat bas unhin se raat-din bahlai jati hai
shab-e-wada bhi koshish kar rahe hain mujh se bachne ki
kuchh aisi baat mere kan mein samjhai jati hai
abe main jaanta hun us mein koi raaz pinhan hai
raqibon se mere sar ki qasam jo khai jati hai
hazaron raat guzrin is tarah se dil ko bahlate
wo ab aate hain ab tashrif un ki aai jati hai
zamana ho gaya is kaam ko is baat ko guzre
magar chehre pe ab bhi sharm si kuchh pai jati hai
jawani ka zamana phir jawani ka zamana hai
bache insan kitna hi tabiat aai jati hai
kalam achchha sunae ya sunae fuhsh wo ghazlen
janab-e-'bum' se mahfil mein raunaq aai jati he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.