zamane bhar se Dar kar kya karun main
zamāne bhar se Dar kar kyā karūñ maiñ
Darūñ to apnī biivī se Darūñ maiñ
kisī din pheñk denā un ke uupar
marūñ to un ke uupar hī marūñ maiñ
kahīñ se shaam kī mil jaa.e roTī
ye bhūkā haath ab kis par dharūñ maiñ
davā khā.ūñ ki roTī yā ki halva
ye das kā note hai kyā kyā karūñ maiñ
ijāzat ho to tere ghar meñ aa kar
sahar se shaam tak paanī bharūñ maiñ
baḌe ghar kā mujhe dāmād kar de
parāThe roz phokaT meñ charūñ maiñ
chalo shā.ir to maiñ ḳhud ban gayā huuñ
koī batlā.e ke ab kyā karūñ maiñ
kabhī ro.uuñ kabhī machchhar bhagā.ūñ
vo so.e raat bhar jaagā karūñ maiñ
chhupā luuñ 'be-takalluf' maiñ bhī kaTTe
saūdī jā ke phir chanda karūñ maiñ
zamane bhar se Dar kar kya karun main
Darun to apni biwi se Darun main
kisi din phenk dena un ke upar
marun to un ke upar hi marun main
kahin se sham ki mil jae roTi
ye bhuka hath ab kis par dharun main
dawa khaun ki roTi ya ki halwa
ye das ka note hai kya kya karun main
ijazat ho to tere ghar mein aa kar
sahar se sham tak pani bharun main
baDe ghar ka mujhe damad kar de
paraThe roz phokaT mein charun main
chalo shair to main KHud ban gaya hun
koi batlae ke ab kya karun main
kabhi roun kabhi machchhar bhagaun
wo soe raat bhar jaga karun main
chhupa lun 'be-takalluf' main bhi kaTTe
saudi ja ke phir chanda karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.