aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tutor tha

Inayat Ali Khan

main tutor tha

Inayat Ali Khan

MORE BYInayat Ali Khan

    maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisī bañdariyā nachātā phirtā thā

    kahīñ maiñ sofe pe baiThā kahīñ chatā.ī par

    kahīñ Tikāyā gayā kharrī chārpā.ī par

    kahīñ se niklā kisī la.al piTā.ī par

    kisī aziiz ne Tarḳhā diyā miThā.ī par

    maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisī bañdariyā nachātā phirtā thā

    na koī shaam mirī apnī shaam hotī thī

    ki merī shaam to bachchoñ ke naam hotī thī

    pa jab kisī mamī ham-kalām hotī thī

    to mere alam turkī tamām hotī thī

    maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisī bandariyā nachātā phirtā thā

    jo chhoTā bhaa.ī bhī shāgird koī hotā

    to vo bhī aan ke merī god meñ sotā

    baḌe ke piTne pe chhoTā jo phuuT kar rotā

    maiñ shervānī ke dhabboñ ko der tak dhotā

    maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisī bandariyā nachātā phirtā thā

    har ik qimāsh ke bachche paḌhā diye maiñ ne

    matā-e-ilm ke nalke lagā diye maiñ ne

    jo khoTe sikke the vo bhī chalā diye maiñ ne

    jo a.s.s the c.s.s banā diye maiñ ne

    maiñ tutor thā maiñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisiī bandariyā nachātā phirtā thā

    na qadar-dāñ na koī sāhib-e-nazar paayā

    na ghaaT rahā maiñ na koī ghar paayā

    ḳhitāb paayā to sūkhā saḌā ''sir'' paayā

    maiñ apnī qaum ke bachche paḌhā ke bhar paayā

    maiñ tutor thā meñ ghar ghar paḌhātā phirtā thā

    mudarrisī bandariyā nachātā phirtā thā

    main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha

    kahin main sofe pe baiTha kahin chatai par

    kahin Tikaya gaya kharri chaarpai par

    kahin se nikla kisi lal ki piTai par

    kisi aziz ne TarKHa diya miThai par

    main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha

    na koi sham meri apni sham hoti thi

    ki meri sham to bachchon ke nam hoti thi

    pa jab kisi ki mami ham-kalam hoti thi

    to mere alam ki turki tamam hoti thi

    main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha

    jo chhoTa bhai bhi shagird ka koi hota

    to wo bhi aan ke meri hi god mein sota

    baDe ke piTne pe chhoTa jo phuT kar rota

    main sherwani ke dhabbon ko der tak dhota

    main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha

    har ek qimash ke bachche paDha diye main ne

    mata-e-ilm ke nalke laga diye main ne

    jo khoTe sikke the wo bhi chala diye main ne

    jo ass the css bana diye main ne

    main tutor tha main ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisii ki bandariya nachata phirta tha

    na qadar-dan na koi sahib-e-nazar paya

    na ghaT hi ka raha main na koi ghar paya

    KHitab paya to sukha saDa sa sir paya

    main apni qaum ke bachche paDha ke bhar paya

    main tutor tha mein ghar ghar paDhata phirta tha

    mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha

    Source:

    Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 63)

    • Author: Hassan Abbasi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Nastaleeq Matbuaat
      • Year of Publication: 2004

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now