tanziya ghazal
shā.irī meñ na kabhī shikva-e-rusvā.ī kar
apne ash.ār kī tū ḳhud hī pazīrā.ī kar
tere vīrān shab-o-roz bhī rañgīñ hoñge
bas kisī tarah hasīnoñ se shanāsā.ī kar
jo marīzān-e-mohabbat haiñ ġhamoñ ke maare
un kī ash.ār-e-zarāfat se masīhā.ī kar
peT kī aag bujhā mehnat-o-mazdūrī se
vaqt bach jaa.e to mashq-e-suḳhan-ārā.ī kar
bhuul kar ishq kā saudā na samā le sar meñ
aur majnūñ kī tarah ḳhud ko na saudā.ī kar
apnī tanhā.iyāñ yādoñ se daraḳhshāñ kar le
phir tasavvur meñ sahī anjuman-ārā.ī kar
ājizī aur na aañsū na fuġhāñ shāmil hai
kuchh to fariyād ko tū qābil-e-shanvā.ī kar
vaqt ke saath tirā dil bhī bahal jā.egā
le ke kāġhaz-o-qalam qāfiya-paimā.ī kar
apne māshūq ke ḳhvāboñ meñ chalā jā har shab
'ḳhvāh-maḳhvāh' yuuñ bhī ilāj-e-ġham-e-tanhā.ī kar
aur agar chāhe ki ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' shohrat terī
yūsufī gar nahīñ mumkin to zuleḳhā.ī kar
shairi mein na kabhi shikwa-e-ruswai kar
apne ashaar ki tu KHud hi pazirai kar
tere viran shab-o-roz bhi rangin honge
bas kisi tarah hasinon se shanasai kar
jo marizan-e-mohabbat hain ghamon ke mare
un ki ashaar-e-zarafat se masihai kar
peT ki aag bujha mehnat-o-mazduri se
waqt bach jae to mashq-e-suKHan-arai kar
bhul kar ishq ka sauda na sama le sar mein
aur majnun ki tarah KHud ko na saudai kar
apni tanhaiyan yaadon se daraKHshan kar le
phir tasawwur mein sahi anjuman-arai kar
aajizi aur na aansu na fughan shamil hai
kuchh to fariyaad ko tu qabil-e-shanwai kar
waqt ke sath tera dil bhi bahal jaega
le ke kaghaz-o-qalam qafiya-paimai kar
apne mashuq ke KHwabon mein chala ja har shab
'KHwah-maKHwah' yun bhi ilaj-e-gham-e-tanhai kar
aur agar chahe ki ho 'KHwah-maKHwah' shohrat teri
yusufi gar nahin mumkin to zuleKHai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.