tarhi ghazal
mushā.ire ke liye qaid tarah kī kyā hai
ye ik tarah kī mashaqqat hai shā.erī kyā hai
jo chāhte haiñ ki maiñ tarah meñ ġhazal likkhūñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ merī policy kyā hai
ġhazal jo tarah meñ likkhī hai kis tarah likkhī
ye pūchhne kī kisī ko authority kyā hai
ġhazal kī shakl badal dī hai operation se
suḳhan-varī hai agar ye to surgery kyā hai
maiñ jab ġhazal meñ gulistāñ kā zikr kartā huuñ
vo pūchhte haiñ gulistāñ kī fārsī kyā hai
ġhazal ke badle agar kuchh muāvza mil jaa.e
maiñ sochtā huuñ to phir shā.erī burī kyā hai
mirī ġhazal meñ taḳhallus kisī kā fiT kar do
taḳhallusoñ kī bhī is shahr meñ kamī kyā hai
mushaire ke liye qaid tarah ki kya hai
ye ek tarah ki mashaqqat hai shaeri kya hai
jo chahte hain ki main tarah mein ghazal likkhun
unhen KHabar hi nahin meri policy kya hai
ghazal jo tarah mein likkhi hai kis tarah likkhi
ye puchhne ki kisi ko authority kya hai
ghazal ki shakl badal di hai operation se
suKHan-wari hai agar ye to surgery kya hai
main jab ghazal mein gulistan ka zikr karta hun
wo puchhte hain gulistan ki farsi kya hai
ghazal ke badle agar kuchh muawza mil jae
main sochta hun to phir shaeri buri kya hai
meri ghazal mein taKHallus kisi ka fiT kar do
taKHalluson ki bhi is shahr mein kami kya hai
- Book : Kulliyat-e-Dilavar Figar (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.