tumhaare jamparon par saDiyon par aur ghararon par
tumhāre jamparoñ par sāḌiyoñ par aur ġharāroñ par
luTe jaate haiñ dil vaale ka.ī salma-sitāroñ par
election ab bhalā kaise laḌeñge ham raqīboñ se
kamā.ī to uḌā Daalī hai saarī ishtihāroñ par
phisal kar rah ga.e haiñ nā-gahāñ kele ke chhilke se
kamandeñ Dālne ghar se chale the chāñd tāroñ par
burā añgrez ko kahtā huuñ piTtā huuñ clerkoñ se
gad.he se gir ke ġhussa aa hī jaatā hai kumhāroñ par
baḌe hī karr-o-farr se piiTh par kachhve kī baiThe haiñ
yūñhī ham reñgte pahuñcheñge āḳhir kohsāroñ par
miThā.ī baañT dī hai dushmanoñ meñ us ne shādī kī
magar Tarḳhā diyā hai ham ġharīboñ ko chhohāroñ par
yahī 'arshad' hamāre nau-javānoñ kī kahānī hai
jiye daulat kī ḳhātir aur mare filmī-sitāroñ par
tumhaare jamparon par saDiyon par aur ghararon par
luTe jate hain dil wale kai salma-sitaron par
election ab bhala kaise laDenge hum raqibon se
kamai to uDa Dali hai sari ishtihaaron par
phisal kar rah gae hain na-gahan kele ke chhilke se
kamanden Dalne ghar se chale the chand taron par
bura angrez ko kahta hun piTta hun clerkon se
gadhe se gir ke ghussa aa hi jata hai kumhaaron par
baDe hi karr-o-farr se piTh par kachhwe ki baiThe hain
yunhi hum rengte pahunchenge aaKHir kohsaron par
miThai banT di hai dushmanon mein us ne shadi ki
magar TarKHa diya hai hum gharibon ko chhohaaron par
yahi 'arshad' hamare nau-jawanon ki kahani hai
jiye daulat ki KHatir aur mare filmi-sitaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.