ulTi ganga
vo daur aane vaalā hai begam ne ye kahā
kar deñgī band aurteñ mardoñ kā nātiqa
ab vo zamāna aa.egā mahvash kamā.eñge
aur mard ghar pe baiTh ke khānā pakā.eñge
tum merā ghar pe baiTh ke dekhoge rāsta
ab tum mire huzūr meñ lāoge nāshta
had se burā huzūr kā anjām hovegā
mardoñ se guftugū kā ġhazal naam hovegā
būḌhe ko sola saal kī dulhan pasand hai
mardoñ ko saarī nasl corruption pasand hai
ham log baḌh rahe haiñ taraqqī kī raah meñ
sar meñ dimāġh rakhte haiñ duniyā nigāh meñ
lady police vaalī hai lady hai fauj meñ
kitne sudhār aa.e haiñ aurat kī nauj meñ
luñgī se Dhāñp Dhāñp ke muñh apnā ro.eñge
aurat jahāñ jahāñ thī vahāñ mard ho.eñge
ham ne kahā ki is meñ nahīñ hai muzā.iqa
ham bhī badal ke dekheñge ab muñh kā zā.iqa
ab laḌkiyoñ pe barq-e-tabassum girā.eñge
ab laḌke apne husn kā jalva dikhā.eñge
kitnī musībatoñ se milegī hameñ najāt
so.egā laḌkā jāgegī laḌkī tamām raat
aa.egā ab na sūrat-e-āshiq pe rañg-e-yās
ab phuul uḌ ke ā.eñge bhañvre ke ās-pās
socheñge pahroñ baiTh ke qānūn-e-mahvashāñ
ab rape kī report likhā.eñge naujavāñ
dīvāngī meñ chaak garebāñ kiye hue
lailā milegī baal pareshāñ kiye hue
niklegī shīrīñ haath meñ tesha liye hue
farhād hogā peT meñ bachcha liye hue
majnūñ ko mahmaloñ meñ biThā.eñ to ḳhuub hai
lailā.eñ zauq-e-qais dikhā.eñ to ḳhuub hai
wo daur aane wala hai begam ne ye kaha
kar dengi band aurten mardon ka natiqa
ab wo zamana aaega mahwash kamaenge
aur mard ghar pe baiTh ke khana pakaenge
tum mera ghar pe baiTh ke dekhoge rasta
ab tum mere huzur mein laoge nashta
had se bura huzur ka anjam howega
mardon se guftugu ka ghazal nam howega
buDhe ko sola sal ki dulhan pasand hai
mardon ko sari nasl corruption pasand hai
hum log baDh rahe hain taraqqi ki rah mein
sar mein dimagh rakhte hain duniya nigah mein
lady police wali hai lady hai fauj mein
kitne sudhaar aae hain aurat ki nauj mein
lungi se Dhanp Dhanp ke munh apna roenge
aurat jahan jahan thi wahan mard hoenge
hum ne kaha ki is mein nahin hai muzaiqa
hum bhi badal ke dekhenge ab munh ka zaiqa
ab laDkiyon pe barq-e-tabassum giraenge
ab laDke apne husn ka jalwa dikhaenge
kitni musibaton se milegi hamein najat
soega laDka jagegi laDki tamam raat
aaega ab na surat-e-ashiq pe rang-e-yas
ab phul uD ke aaenge bhanwre ke aas-pas
sochenge pahron baiTh ke qanun-e-mahwashan
ab rape ki report likhaenge naujawan
diwangi mein chaak gareban kiye hue
laila milegi baal pareshan kiye hue
niklegi shirin hath mein tesha liye hue
farhad hoga peT mein bachcha liye hue
majnun ko mahmalon mein biThaen to KHub hai
lailaen zauq-e-qais dikhaen to KHub hai
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 105)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.