umr mein do fuT baDe hain dosto
umr meñ do fuT baḌe haiñ dosto
phir bhī vo mujh se laḌe haiñ dosto
aaj hī ham ne muñDāyā apnā sar
aaj hī ole paḌe haiñ dosto
kis tarah pahuñcheñge kū-e-yār meñ
rāste meñ chhe gaḌhe haiñ dosto
us ne dekhā mujh ko chashm-e-nāz se
aap kyuuñ mujh se saḌe haiñ dosto
aql-mandī kī nishānī siiñg haiñ
bhaiñs ne sar par jaḌe haiñ dosto
yaar ne paa.e pakā.e aaj bhī
ham ne to khaa.e baḌe haiñ dosto
umr mein do fuT baDe hain dosto
phir bhi wo mujh se laDe hain dosto
aaj hi hum ne munDaya apna sar
aaj hi ole paDe hain dosto
kis tarah pahunchenge ku-e-yar mein
raste mein chhe gaDhe hain dosto
us ne dekha mujh ko chashm-e-naz se
aap kyun mujh se saDe hain dosto
aql-mandi ki nishani sing hain
bhains ne sar par jaDe hain dosto
yar ne pae pakae aaj bhi
hum ne to khae baDe hain dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.