uTThi nahin hai shahr se rasm-e-wafa abhi
uTThī nahīñ hai shahr se rasm-e-vafā abhī
bazm-e-suḳhan ke sadr haiñ 'hāshim-razā' abhī
sāhab ye chāhte haiñ maiñ har hukm par kahūñ
behtar durust ḳhuub munāsib bajā abhī
us dar pe mujh ko dekh ke darbāñ ne ye kahā
Thahro ki hone vaalī hī hai fātihā abhī
is tarah meñ ġhazal koī dushvār to nahīñ
do-chār lafz likh diye phir likh diyā abhī
phir chand lafz likh diye phir gol ho ga.e
phir qāfiye se bāñdh ke chipkā diyā abhī
pakḌī ga.ī radīf to fauran ye kah diyā
likhnā kabhī thā aur maiñ yahāñ likh gayā abhī
uTThi nahin hai shahr se rasm-e-wafa abhi
bazm-e-suKHan ke sadr hain 'hashim-raza' abhi
sahab ye chahte hain main har hukm par kahun
behtar durust KHub munasib baja abhi
us dar pe mujh ko dekh ke darban ne ye kaha
Thahro ki hone wali hi hai fatiha abhi
is tarah mein ghazal koi dushwar to nahin
do-chaar lafz likh diye phir likh diya abhi
phir chand lafz likh diye phir gol ho gae
phir qafiye se bandh ke chipka diya abhi
pakDi gai radif to fauran ye kah diya
likhna kabhi tha aur main yahan likh gaya abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.