wapsi
ek din jab tañg mujh par ho ga.ī arz-e-dakan
tab muhājir ban ke niklā bāñdh kar sar se kafan
kitne hī barsoñ azāb-e-ajnabiyyat bhī sahā
zehn-o-dil par jheltā hī rah gayā rañj-o-mehan
muflisī meñ bhī tavakkul par guzāra yuuñ kiyā
pairahan sabr-o-qanā.at kā rahā hai zeb-tan
ḳhaak chhānī dar-ba-dar kī Thokareñ khā.īñ bahut
par mujhe masrūf rakhtī thī sadā fikr-e-suḳhan
fikr-e-duniyā se bhī aksar mil hī jaatī thī najāt
fikr-e-uqbā meñ jo rahtā maiñ ibādat meñ magan
haath meñ dhāgā thā chhoTā aur suuī thī baḌī
maiñ rafū bhī kar nahīñ saktā thā apnā pairahan
dekh kar mashq-e-suḳhan merī suḳhan-fahmoñ ne jab
kar liyā mujh be-vatan ko bhī sharīk-e-anjuman
phir to jaise rahmatoñ ke baab mujh par khul ga.e
phir mujhe miltī ga.ī har sher par dād-e-suḳhan
haisiyat se bhī ziyāda izzat-o-shohrat milī
rizq bhī baḳhshā ḳhudā ne ba-tufail-e-ilm-o-fan
ab sabhoñ ko ḳhush-o-ḳhurram aur hañstā dekhne
vaqf maiñ ne kar diyā hai apnā tan man aur dhan
āḳhirat bhī bas isī tarah sañvar jaa.e mirī
is lagan meñ tā-dam-e-āḳhir rahūñgā maiñ magan
inkisārī se zamīñ ko dekh kar chaltā huuñ maiñ
maiñ ne badlā hai na badlūñgā kabhī apnā chalan
shā.irī kī har kajī DanDe se sīdhī ho ga.ī
zehn ko mere mo.attar kar gayā kevḌe kā ban
ghokaro ke chand kāñTe zehn meñ jab chubh ga.e
fikr ke sab aable phūTe to raas aa.ī chubhan
taaki merī shā.irī kī bhī zamīñ zarḳhez ho
dhumuḌī se bhī karūñgā iktisāb-e-fikr-o-fan
kuchh samajh meñ hī nahīñ aatā ki āḳhir kyā karūñ
is buḌhāpe meñ bhī mujh par haiñ fidā kuchh gul-badan
ai ḳhudā kar le qubūl ab 'ḳhvāh-maḳhvāh' kī ye duā
qā.em-o-dā.em rahe zinda-diloñ kī anjuman
god meñ apne sulāne ke liye hī 'ḳhvāh-maḳhvāh'
khīñch laa.ī hai merī miTTī mujhe apne vatan
ek din jab tang mujh par ho gai arz-e-dakan
tab muhajir ban ke nikla bandh kar sar se kafan
kitne hi barson azab-e-ajnabiyyat bhi saha
zehn-o-dil par jhelta hi rah gaya ranj-o-mehan
muflisi mein bhi tawakkul par guzara yun kiya
pairahan sabr-o-qanaat ka raha hai zeb-tan
KHak chhani dar-ba-dar ki Thokaren khain bahut
par mujhe masruf rakhti thi sada fikr-e-suKHan
fikr-e-duniya se bhi aksar mil hi jati thi najat
fikr-e-uqba mein jo rahta main ibaadat mein magan
hath mein dhaga tha chhoTa aur sui thi baDi
main rafu bhi kar nahin sakta tha apna pairahan
dekh kar mashq-e-suKHan meri suKHan-fahmon ne jab
kar liya mujh be-watan ko bhi sharik-e-anjuman
phir to jaise rahmaton ke bab mujh par khul gae
phir mujhe milti gai har sher par dad-e-suKHan
haisiyat se bhi ziyaada izzat-o-shohrat mili
rizq bhi baKHsha KHuda ne ba-tufail-e-ilm-o-fan
ab sabhon ko KHush-o-KHurram aur hansta dekhne
waqf main ne kar diya hai apna tan man aur dhan
aaKHirat bhi bas isi tarah sanwar jae meri
is lagan mein ta-dam-e-aKHir rahunga main magan
inkisari se zamin ko dekh kar chalta hun main
main ne badla hai na badlunga kabhi apna chalan
shairi ki har kaji DanDe se sidhi ho gai
zehn ko mere moattar kar gaya kewDe ka ban
ghokaro ke chand kanTe zehn mein jab chubh gae
fikr ke sab aable phuTe to ras aai chubhan
taki meri shairi ki bhi zamin zarKHez ho
dhumuDi se bhi karunga iktisab-e-fikr-o-fan
kuchh samajh mein hi nahin aata ki aaKHir kya karun
is buDhape mein bhi mujh par hain fida kuchh gul-badan
ai KHuda kar le qubul ab 'KHwah-maKHwah' ki ye dua
qaem-o-daem rahe zinda-dilon ki anjuman
god mein apne sulane ke liye hi 'KHwah-maKHwah'
khinch lai hai meri miTTi mujhe apne watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.