wazir ki dusri shadi
karachi meñ kamar bāñdhe hue sab yaar baiThe haiñ
biyāhe jā chuke ik baar phir tayyār baiThe haiñ
jise dekho vahī hai dūsrī biivī ke chakkar meñ
ġhanīmat hai muvahhid jo yahāñ do-chār baiThe haiñ
na chheḌ ai shaiḳh ham yūñhī bhale chal raah lag apnī
tujhe to bīviyāñ sūjhī haiñ ham bezār baiThe haiñ
na kar leñ chaar jab tak shaiḳh-jī kyuuñ dam lageñ lene
vo do kar ke bhī kahte haiñ ki ham be-kār baiThe haiñ
kahāñ ab chain ghar kā jab se biivī dūsrī aa.ī
nazar aayā jahāñ par sāya-e-dīvār baiThe haiñ
balā-e-nāgahānī hai havā-e-zauja-sānī
jo biivī jiit kar uTThe vazārat haar baiThe haiñ
karachi mein kamar bandhe hue sab yar baiThe hain
biyahe ja chuke ek bar phir tayyar baiThe hain
jise dekho wahi hai dusri biwi ke chakkar mein
ghanimat hai muwahhid jo yahan do-chaar baiThe hain
na chheD ai shaiKH hum yunhi bhale chal rah lag apni
tujhe to biwiyan sujhi hain hum bezar baiThe hain
na kar len chaar jab tak shaiKH-ji kyun dam lagen lene
wo do kar ke bhi kahte hain ki hum be-kar baiThe hain
kahan ab chain ghar ka jab se biwi dusri aai
nazar aaya jahan par saya-e-diwar baiThe hain
bala-e-nagahani hai hawa-e-zauja-sani
jo biwi jit kar uTThe wazarat haar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.