Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek shaKHs jo mahfil mein bolta tha bahut

Pasha Rahman

wo ek shaKHs jo mahfil mein bolta tha bahut

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    vo ek shaḳhs jo mahfil meñ boltā thā bahut

    sunā hai ahl-e-nazar se vo khokhlā thā bahut

    ridā-e-shab se lipaT ke savād-e-shām ke baad

    kisī ke baare meñ pahroñ maiñ sochtā thā bahut

    us ajnabī ne bil-āḳhir palaT ke dekh liyā

    tilismī shahr meñ koī pukārtā thā bahut

    abhī jo paas se nazreñ churā ke guzrā hai

    ga.ī rutoñ meñ vahī mujh ko chāhtā thā bahut

    jo baat baat pe hañstā thā muskurātā thā

    kise ḳhabar ki vahī dil meñ ro rahā thā bahut

    kuchh aise ahl-e-junūñ bhī yahāñ se guzre the

    ġhubār-e-rāh-e-vafā jin ko DhūñDtā thā bahut

    jo pūchhte ho mujhe tum ko yaad ho shāyad

    koī nazar se tumhāre kabhī girā thā bahut

    wo ek shaKHs jo mahfil mein bolta tha bahut

    suna hai ahl-e-nazar se wo khokhla tha bahut

    rida-e-shab se lipaT ke sawad-e-sham ke baad

    kisi ke bare mein pahron main sochta tha bahut

    us ajnabi ne bil-aKHir palaT ke dekh liya

    tilismi shahr mein koi pukarta tha bahut

    abhi jo pas se nazren chura ke guzra hai

    gai ruton mein wahi mujh ko chahta tha bahut

    jo baat baat pe hansta tha muskuraata tha

    kise KHabar ki wahi dil mein ro raha tha bahut

    kuchh aise ahl-e-junun bhi yahan se guzre the

    ghubar-e-rah-e-wafa jin ko DhunDta tha bahut

    jo puchhte ho mujhe tum ko yaad ho shayad

    koi nazar se tumhaare kabhi gira tha bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now