Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo meri DeDh aankhon se kya kya dikhai de

Jauhar Siwani

wo meri DeDh aankhon se kya kya dikhai de

Jauhar Siwani

MORE BYJauhar Siwani

    vo merī DeḌh āñkhoñ se kyā kyā dikhā.ī de

    sīdhā dikhā.ī de ki jo ulTā dikhā.ī de

    patlūn hai ġharāra to jampar bhī hai qamīz

    fashion rang aur bhī chaḌhtā dikhā.ī de

    ab sar par oḌhnī hai na hāthoñ meñ chūḌiyāñ

    laḌkī bhī āj-kal mujhe laḌkā dikhā.ī de

    hero kabhī jo chheḌ de college girl ko

    college ke gate par vo piTtā dikhā.ī de

    chashma bhī chashm-e-nāz pe shāyad hai is liye

    chechak-zada ho chehra to achchhā dikhā.ī de

    jiddat hai kamāl ki shā'ir ko āj-kal

    sūraj ko choñch meñ liye murġhā dikhā.ī de

    jaise adab bazm bhī bāzār-e-she'r ho

    shā'ir ġharīb vaah pe biktā dikhā.ī de

    is daur hai den ki kursī pe āj-kal

    āñkhoñ andhā gāñTh puurā dikhā.ī de

    kaise karegā koī zarūrat guftugū

    netā ke saath saath jo chamcha dikhā.ī de

    patlūn das rūpye begam ko hai girāñ

    saayā magar pachās sastā dikhā.ī de

    shā'ir mushā'ire meñ paḌhe jam ke kis tarah

    chehre se jab vo raat bhūkā dikhā.ī de

    shā'ir ġharīb hai 'ajab haal bazm meñ

    hōting hamla ho to akelā dikhā.ī de

    pahchān bhī libās se dushvār ho ga.ī

    saalī bhī ab libās meñ saalā dikhā.ī de

    ham ne ye lāTrī ticket kyā ḳharīd

    har raat ek laakh sapnā dikhā.ī de

    masjid hogā vo to mo.azzin ki pesh-imām

    tanhā khaḌā namāz jo paḌhtā dikhā.ī de

    suunī paḌī haiñ masjideñ lekin mazār par

    har jum'e jum’erāt ko mela dikhā.ī de

    'jauhar' har kalām tabassum-navāz hai

    rotā huā jo aa.e vo hañstā dikhā.ī de

    wo meri DeDh aankhon se kya kya dikhai de

    sidha dikhai de ki jo ulTa dikhai de

    patlun hai gharara to jampar bhi hai qamiz

    fashion ka rang aur bhi chaDhta dikhai de

    ab sar par oDhni hai na hathon mein chuDiyan

    laDki bhi aaj-kal mujhe laDka dikhai de

    hero kabhi jo chheD de college ki girl ko

    college ke gate par hi wo piTta dikhai de

    chashma bhi chashm-e-naz pe shayad hai is liye

    chechak-zada ho chehra to achchha dikhai de

    jiddat ka hai kamal ki sha'ir ko aaj-kal

    suraj ko chonch mein liye murgha dikhai de

    jaise adab ki bazm bhi bazar-e-she'r ho

    sha'ir gharib wah pe bikta dikhai de

    is daur ki hai den ki kursi pe aaj-kal

    aankhon ka andha ganTh ka pura dikhai de

    kaise karega koi zarurat ki guftugu

    neta ke sath sath jo chamcha dikhai de

    patlun das hi rupye ka begam ko hai giran

    saya magar pachas ka sasta dikhai de

    sha'ir musha'ire mein paDhe jam ke kis tarah

    chehre se jab wo raat ka bhuka dikhai de

    sha'ir gharib ka hai 'ajab haal bazm mein

    hooting ka hamla ho to akela dikhai de

    pahchan bhi libas se dushwar ho gai

    sali bhi ab libas mein sala dikhai de

    hum ne ye laTri ki ticket kya KHarid li

    har raat ek lakh ka sapna dikhai de

    masjid ka hoga wo to moazzin ki pesh-imam

    tanha khaDa namaz jo paDhta dikhai de

    suni paDi hain masjiden lekin mazar par

    har jum'e jum’eraat ko mela dikhai de

    'jauhar' ka har kalam tabassum-nawaz hai

    rota hua jo aae wo hansta dikhai de

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now