ya rab mere nasib mein akl-e-halal ho
yā rab mire nasīb meñ akl-e-halāl ho
khāne ko qorma ho khilāne ko daal ho
le kar barāt kaun super highway pe jaa.e
aisī bhī kyā ḳhushī ki saḌak par visāl ho
jaldī meñ muñh se lafz jamālo nikal gayā
kahnā ye chāhtā thā ki tum mah-jamāl ho
aurat ko chāhiye ki adālat kā ruḳh kare
jab aadmī ko sirf ḳhudā kā ḳhayāl ho
ik baar ham bhī rāh-numā ban ke dekh leñ
phir us ke ba.ad qaum kā jo kuchh bhī haal ho
ham to kisī se bhiik nahīñ māñgte 'figār'
lekin agar faqīr kī sūrat savāl ho
ya rab mere nasib mein akl-e-halal ho
khane ko qorma ho khilane ko dal ho
le kar baraat kaun super highway pe jae
aisi bhi kya KHushi ki saDak par visal ho
jaldi mein munh se lafz jamalo nikal gaya
kahna ye chahta tha ki tum mah-jamal ho
aurat ko chahiye ki adalat ka ruKH kare
jab aadmi ko sirf KHuda ka KHayal ho
ek bar hum bhi rah-numa ban ke dekh len
phir us ke baad qaum ka jo kuchh bhi haal ho
hum to kisi se bhik nahin mangte 'figar'
lekin agar faqir ki surat sawal ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.