ye sas hai ki sher chhupa hai naqab mein
ye saas hai ki sher chhupā hai naqāb meñ
allāh kisī ko saas na deve shabāb meñ
hairāñ huuñ dil ko ro.uuñ yā pīTūñ jigar ko maiñ
sotī hai vo sambhāltī huuñ saare ghar ko maiñ
billū ko chup karā.ūñ ki mārūñ qamar ko maiñ
farsh-e-zamīn dho.ūñ ki māñjūñ kukar ko maiñ
ro ro ke yaad kartī huuñ father pidar ko maiñ
dikhtī hai saas hī mujhe dekhūñ jidhar ko maiñ
har ik se pūchhtī huuñ ki dekhūñ kidhar ko maiñ
nāz-o-adā se thaam ke apnī kamar ko maiñ
jab apnā dukh sunā.ūñ qamar ke pidar ko maiñ
kahte haiñ dekh aag lagā dūñgā ghar ko maiñ
achchhā yahī hai DhūñD le rāhat azaab meñ
ḳhushiyoñ kā zikr kufr hai merī janāb meñ
ye sas hai ki sher chhupa hai naqab mein
allah kisi ko sas na dewe shabab mein
hairan hun dil ko roun ya piTun jigar ko main
soti hai wo sambhaalti hun sare ghar ko main
billu ko chup karaun ki marun qamar ko main
farsh-e-zamin dhoun ki manjun kukar ko main
ro ro ke yaad karti hun father pidar ko main
dikhti hai sas hi mujhe dekhun jidhar ko main
har ek se puchhti hun ki dekhun kidhar ko main
naz-o-ada se tham ke apni kamar ko main
jab apna dukh sunaun qamar ke pidar ko main
kahte hain dekh aag laga dunga ghar ko main
achchha yahi hai DhunD le rahat azab mein
KHushiyon ka zikr kufr hai meri janab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.