ye teri zulf ka kunDal to mujhe mar chala
ye teri zulf ka kunDal to mujhe mar chala
Athar Shah Khan Jaidi
MORE BYAthar Shah Khan Jaidi
ye tirī zulf kā kunDal to mujhe maar chalā
jis pe qānūn bhī laagū ho vo hathiyār chalā
peT hī phuul gayā itne ḳhamīre khā kar
terī hikmat na chalī aur tirā bīmār chalā
bīviyāñ chaar haiñ aur phir bhī hasīnoñ se shaġhaf
bhaa.ī tū baiTh ke ārām se ghar-bār chalā
ujrat-e-ishq nahīñ detā na de bhaaḌ meñ jā
le tire daam se ab terā giraftār chalā
sansanī-ḳhez use aur koī shai na milī
merī tasvīr se vo shaam kā aḳhbār chalā
ye bhī achchhā hai ki sahrā meñ banāyā hai makāñ
ab kirā.e pe yahāñ sāya-e-dīvār chalā
ik adākār rukā hai to huā utnā hujūm!!
muḌ ke dekhā na kisī ne jo qalamkār chalā
chheḌ mahbūb se le Dūbegī kashtī 'jaidī'
aañkh se dekh use haath se patvār chalā
ye teri zulf ka kunDal to mujhe mar chala
jis pe qanun bhi lagu ho wo hathiyar chala
peT hi phul gaya itne KHamire kha kar
teri hikmat na chali aur tera bimar chala
biwiyan chaar hain aur phir bhi hasinon se shaghaf
bhai tu baiTh ke aaram se ghar-bar chala
ujrat-e-ishq nahin deta na de bhaD mein ja
le tere dam se ab tera giraftar chala
sansani-KHez use aur koi shai na mili
meri taswir se wo sham ka aKHbar chala
ye bhi achchha hai ki sahra mein banaya hai makan
ab kirae pe yahan saya-e-diwar chala
ek adakar ruka hai to hua utna hujum!!
muD ke dekha na kisi ne jo qalamkar chala
chheD mahbub se le Dubegi kashti 'jaidi'
aankh se dekh use hath se patwar chala
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 11)
- Author : Alhamd Publications
- Publication : Roohi Kanjahi (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.