zahr bimar ko murde ko dawa di jae
zahr bīmār ko murde ko davā dī jaa.e
hai yahī rasm to ye rasm uThā dī jaa.e
vasl kī raat jo mahbūb kahe good night
qā.eda ye hai ki english meñ duā dī jaa.e
aaj jalse haiñ bahut shahr meñ leader kam haiñ
ehtiyātan mujhe taqrīr raTā dī jaa.e
maar khāne se mujhe aar nahīñ hai lekin
piT chukūñ maiñ to koī vaj.h batā dī jaa.e
merī vahshat kī ḳhabar ghar ko huī hai jab se
chhat ye kahtī hai ki dīvār haTā dī jaa.e
bas meñ baiThī hai mire paas jo ik zohra-jabīñ
mard niklegī agar zulf muñDā dī jaa.e
zahr bimar ko murde ko dawa di jae
hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae
wasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
aaj jalse hain bahut shahr mein leader kam hain
ehtiyatan mujhe taqrir raTa di jae
mar khane se mujhe aar nahin hai lekin
piT chukun main to koi wajh bata di jae
meri wahshat ki KHabar ghar ko hui hai jab se
chhat ye kahti hai ki diwar haTa di jae
bas mein baiThi hai mere pas jo ek zohra-jabin
mard niklegi agar zulf munDa di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.