aisa tera rahguzar na hoga
aisā tirā rahguzar na hogā
har gaam pe jis meñ sar na hogā
kyā in ne nashe meñ mujh ko maarā
itnā bhī tū be-ḳhabar na hogā
dhokā hai tamām bahr duniyā
dekhegā ki hoñT tar na hogā
aa.ī jo shikast ā.īne par
rū-e-dil yaar idhar na hogā
dashnoñ se kisī kā itnā zālim
TukḌe TukḌe jigar na hogā
ab dil ke ta.iiñ diyā to samjhā
mehnat-zadoñ ke jigar na hogā
duniyā kī na kar tū ḳhvāst-gārī
us se kabhū bahra-var na hogā
aa ḳhāna-ḳharābī apnī mat kar
qahba hai ye us se ghar na hogā
ho us se jahāñ siyāh tad bhī
naale meñ mire asar na hogā
phir nauhagarī kahāñ jahāñ meñ
mātam-zada 'mīr' agar na hogā
aisa tera rahguzar na hoga
har gam pe jis mein sar na hoga
kya in ne nashe mein mujh ko mara
itna bhi tu be-KHabar na hoga
dhoka hai tamam bahr duniya
dekhega ki honT tar na hoga
aai jo shikast aaine par
ru-e-dil yar idhar na hoga
dashnon se kisi ka itna zalim
TukDe TukDe jigar na hoga
ab dil ke tain diya to samjha
mehnat-zadon ke jigar na hoga
duniya ki na kar tu KHwast-gari
us se kabhu bahra-war na hoga
aa KHana-KHarabi apni mat kar
qahba hai ye us se ghar na hoga
ho us se jahan siyah tad bhi
nale mein mere asar na hoga
phir nauhagari kahan jahan mein
matam-zada 'mir' agar na hoga
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0049
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.