baat kahte ji ka jaana ho gaya
baat kahte jī kā jaanā ho gayā
marnā āshiq kā bahāna ho gayā
jā-e-būdan to na thī duniyā-e-dūñ
ittifāqan apnā aanā ho gayā
maah us ko kah ke saare shahr meñ
mujh ko mushkil muñh dikhānā ho gayā
kar rakhā ta.avīz tiflī meñ jise
ab so vo laḌkā syānā ho gayā
us balā se aah maiñ ġhāfil rahā
yak-ba-yak dil kā lagānā ho gayā
kunj-e-lab se yaar ke uchTā na Tuk
al-ġharaz dil kā Thikānā ho gayā
rafta rafta us parī ke ishq meñ
'mīr' sā daanā divāna ho gayā
baat kahte ji ka jaana ho gaya
marna aashiq ka bahana ho gaya
ja-e-budan to na thi duniya-e-dun
ittifaqan apna aana ho gaya
mah us ko kah ke sare shahr mein
mujh ko mushkil munh dikhana ho gaya
kar rakha tawiz tifli mein jise
ab so wo laDka syana ho gaya
us bala se aah main ghafil raha
yak-ba-yak dil ka lagana ho gaya
kunj-e-lab se yar ke uchTa na Tuk
al-gharaz dil ka Thikana ho gaya
rafta rafta us pari ke ishq mein
'mir' sa dana diwana ho gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1559
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.