barson tak ji ko mar mar rahe
barsoñ tak jī ko maar maar rahe
rāt-din ham umīd-vār rahe
mausam-e-gul talak rahegā kaun
chubhte hī dil ko ḳhaar ḳhaar rahe
vasl yā hijr kuchh Thahar jaave
dil ko apne agar qarār rahe
ḳhush-navā kaise kaise tā.ir-e-quds
us jafā-pesha ke shikār rahe
us kī āñkhoñ kī mastī se āshiq
chāhiye yuuñ ki hoshiyār rahe
dil lage par rahā nahīñ jaatā
rahiye apnā jo iḳhtiyār rahe
kam hai kyā lazzat-e-ham-āġhoshī
sab maze 'mīr' darkinār rahe
barson tak ji ko mar mar rahe
raat-din hum umid-war rahe
mausam-e-gul talak rahega kaun
chubhte hi dil ko KHar KHar rahe
wasl ya hijr kuchh Thahar jawe
dil ko apne agar qarar rahe
KHush-nawa kaise kaise tair-e-quds
us jafa-pesha ke shikar rahe
us ki aankhon ki masti se aashiq
chahiye yun ki hoshiyar rahe
dil lage par raha nahin jata
rahiye apna jo iKHtiyar rahe
kam hai kya lazzat-e-ham-aghoshi
sab maze 'mir' darkinar rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1275
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.