chale hai bagh ki saba kya KHak
chale hai baaġh kī sabā kyā ḳhaak
dil-jalā koī ho gayā kyā ḳhaak
hai ġhubār us ke ḳhat se dil meñ bahut
bāham ab ho.egī safā kyā ḳhaak
ham gire us ke dar hī par mar kar
aur koī kare vafā kyā ḳhaak
ḳhaak hī meñ milā.e rakhte ho
ho koī tum se āshnā kyā ḳhaak
sab mue ibtidā-e-ishq hī meñ
hove ma.alūm intihā kyā ḳhaak
ḳhaak par hai sadā jabīn-e-niyāz
aur koī ho jab.ha-sā kyā ḳhaak
turbat-e-'mīr' par chale tum der
itnī muddat meñ vaañ rahā kyā ḳhaak
chale hai bagh ki saba kya KHak
dil-jala koi ho gaya kya KHak
hai ghubar us ke KHat se dil mein bahut
baham ab hoegi safa kya KHak
hum gire us ke dar hi par mar kar
aur koi kare wafa kya KHak
KHak hi mein milae rakhte ho
ho koi tum se aashna kya KHak
sab mue ibtida-e-ishq hi mein
howe malum intiha kya KHak
KHak par hai sada jabin-e-niyaz
aur koi ho jabha-sa kya KHak
turbat-e-'mir' par chale tum der
itni muddat mein wan raha kya KHak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0842
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.