dad-fariyaad ja-ba-ja kariye
dād-fariyād jā-ba-jā kariye
shāyad us ke bhī dil meñ jā kariye
ab sulagne lagī hai chhātī bhī
ya.anī muddat paḌe jalā kariye
chashm-o-dil jaan mā.il-e-ḳhūbāñ
badī yāroñ kī kyā kiyā kariye
dekheñ kab tak rahe hai ye sohbat
gāliyāñ khā.iye duā kariye
kuchh kaheñ to kahe hai ye na kaho
kyūñkar iz.hār-e-mudda.ā kariye
ittifāq un kā maare Daale hai
nāz-o-andāz ko judā kariye
eid hī kāshke rahe har roz
sub.h us ke gale lagā kariye
raah takne ko bhī nihāyat hai
muntazir kab talak rahā kariye
hastī mauhūm-o-yak-sar-o-gardan
saiñkaḌoñ kyūñke haq adā kariye
qaaf
vo nahīñ sar-guzasht suntā 'mīr'
yuuñ kahānī sī kyā kahā kariye
mutarattib ho nafā jo kuchh bhī
dil kī bīmārī kī davā kariye
so to har roz hai batar ahvāl
mutahayyar haiñ aah kyā kariye
dad-fariyaad ja-ba-ja kariye
shayad us ke bhi dil mein ja kariye
ab sulagne lagi hai chhati bhi
yani muddat paDe jala kariye
chashm-o-dil jaan mail-e-KHuban
badi yaron ki kya kiya kariye
dekhen kab tak rahe hai ye sohbat
galiyan khaiye dua kariye
kuchh kahen to kahe hai ye na kaho
kyunkar izhaar-e-muddaa kariye
ittifaq un ka mare Dale hai
naz-o-andaz ko juda kariye
eid hi kashke rahe har roz
subh us ke gale laga kariye
rah takne ko bhi nihayat hai
muntazir kab talak raha kariye
hasti mauhum-o-yak-sar-o-gardan
sainkaDon kyunke haq ada kariye
qaf
wo nahin sar-guzasht sunta 'mir'
yun kahani si kya kaha kariye
mutarattib ho nafa jo kuchh bhi
dil ki bimari ki dawa kariye
so to har roz hai batar ahwal
mutahayyar hain aah kya kariye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1762
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.