dil dil log kaha karte hain tumne jaana kya hai dil
dil dil log kahā karte haiñ tum ne jaanā kyā hai dil
chashm-e-basīrat vā hove to ‘ajā.ib-e-dīd kī jā hai dil
auj-o-mauj kā āshob us ke le ke zamīñ se falak tak hai
sūrat meñ to qatra-e-ḳhūñ hai mā'nī meñ dariyā hai dil
jaise sahrā ko kushāda dāman ham tum sunte aate haiñ
band kar āñkheñ Tuk dekho to vaisā hī sahrā hai dil
kohkan-o-majnūñ vāmiq tum jis se pūchho batā deve
'ishq-o-junūñ ke shahroñ meñ har chaar taraf rusvā hai dil
haa.e ġhayūrī dil kī apne daaġh kiyā hai ḳhud-sar ne
jī hī jis ke liye jaatā hai us se be-parvā hai dil
mat pūchho kyoñ ziist karo ho murde se afsurda tum
hijr meñ us ke ham logoñ ne barsoñ tak maarā hai dil
'mīr' pareshāñ dil ke ġham meñ kyā kyā ḳhātir-dārī kī
ḳhaak meñ milte kyoñ na phireñ ab ḳhuun ho bah bhī gayā hai dil
dil dil log kaha karte hain tum ne jaana kya hai dil
chashm-e-basirat wa howe to ‘ajaib-e-did ki ja hai dil
auj-o-mauj ka aashob us ke le ke zamin se falak tak hai
surat mein to qatra-e-KHun hai ma'ni mein dariya hai dil
jaise sahra ko kushada daman hum tum sunte aate hain
band kar aankhen Tuk dekho to waisa hi sahra hai dil
kohkan-o-majnun wamiq tum jis se puchho bata dewe
'ishq-o-junun ke shahron mein har chaar taraf ruswa hai dil
hae ghayuri dil ki apne dagh kiya hai KHud-sar ne
ji hi jis ke liye jata hai us se be-parwa hai dil
mat puchho kyon zist karo ho murde se afsurda tum
hijr mein us ke hum logon ne barson tak mara hai dil
'mir' pareshan dil ke gham mein kya kya KHatir-dari ki
KHak mein milte kyon na phiren ab KHun ho bah bhi gaya hai dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1669
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.