gul ko mahbub ham-qayas kiya
gul ko mahbūb ham-qayās kiyā
farq niklā bahut jo paas kiyā
dil ne ham ko misāl-e-ā.īna
ek aalam kā rū-shanās kiyā
kuchh nahīñ sūjhtā hameñ us bin
shauq ne ham ko be-havās kiyā
ishq meñ ham hue na dīvāne
qais kī aabrū kā paas kiyā
daur se charḳh ke nikal na sake
zo.af ne ham ko mūrtās kiyā
sub.h tak sham.a sar ko dhuntī rahī
kyā patiñge ne iltimās kiyā
tujh se kyā kyā tavaqqo.eñ thiiñ hameñ
so tire zulm ne nirās kiyā
aise vahshī kahāñ haiñ ai ḳhūbāñ
'mīr' ko tum abas udaas kiyā
gul ko mahbub ham-qayas kiya
farq nikla bahut jo pas kiya
dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam ka ru-shanas kiya
kuchh nahin sujhta hamein us bin
shauq ne hum ko be-hawas kiya
ishq mein hum hue na diwane
qais ki aabru ka pas kiya
daur se charKH ke nikal na sake
zoaf ne hum ko murtas kiya
subh tak shama sar ko dhunti rahi
kya patinge ne iltimas kiya
tujh se kya kya tawaqqoen thin hamein
so tere zulm ne niras kiya
aise wahshi kahan hain ai KHuban
'mir' ko tum abas udas kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0031
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.