hum to mutrib-pisar ke jate hain
ham to mutrib-pisar ke jaate haiñ
go raqībāñ kuchh aur gaate haiñ
ḳhaak meñ loTte the kal tujh bin
aaj lohū meñ ham nahāte haiñ
ai adam hone vaalo tum to chalo
ham bhī ab koī dam meñ aate haiñ
ek kahtā huuñ maiñ to muñh pe raqīb
terī pushtī se sau sunāte haiñ
qaaf
dīda-o-dil kā kyā kiyā thā maiñ
roz aafat jo mujh pe laate haiñ
koī rove hai koī taḌpe hai
kyā karūñ mere ghar se aate haiñ
varna maiñ 'mīr' huuñ mire aage
dasht-e-ġham bhī na Tikne paate haiñ
khod gāḌūñ zamīñ meñ donoñ ko
garche ye āsmāñ pe jaate haiñ
dīda-o-dil shitāb gum hoñ 'mīr'
sar pe aafat hamesha laate haiñ
hum to mutrib-pisar ke jate hain
go raqiban kuchh aur gate hain
KHak mein loTte the kal tujh bin
aaj lohu mein hum nahate hain
ai adam hone walo tum to chalo
hum bhi ab koi dam mein aate hain
ek kahta hun main to munh pe raqib
teri pushti se sau sunate hain
qaf
dida-o-dil ka kya kiya tha main
roz aafat jo mujh pe late hain
koi rowe hai koi taDpe hai
kya karun mere ghar se aate hain
warna main 'mir' hun mere aage
dasht-e-gham bhi na Tikne pate hain
khod gaDun zamin mein donon ko
garche ye aasman pe jate hain
dida-o-dil shitab gum hon 'mir'
sar pe aafat hamesha late hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0325
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.