ishq ne KHwar-o-zalil kiya hum sar ko bikhere phirte hain

ishq ne KHwar-o-zalil kiya hum sar ko bikhere phirte hain
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
ishq ne ḳhvār-o-zalīl kiyā ham sar ko bikhere phirte haiñ
soz-o-dard-o-dāġh-o-alam sab jī ko ghere phirte haiñ
har shab huuñ sar-gashta-o-nālāñ us bin kūcha-e-barzan meñ
yaas nahīñ hai ab bhī dekhūñ kab din mere phirte haiñ
dil lashkar meñ ek sipāhī-zāde ne ham se chhīn liyā
ham darvesh talab meñ us kī Dere Dere phirte haiñ
be-ḳhud us kī zulf-o-ruḳh ke kaahe ko aap meñ phir aa.e
ham kahte haiñ tasallī-e-dil ko sāñjh savere phirte haiñ
naqsh kisū kā darūn-e-sīna garm talab haiñ vaise rang
jaisī ḳhayālī paas liye tasvīr chitere phirte haiñ
barse agar shamshīr saroñ par muñh moḌeñ zinhār nahīñ
sīdhe jaane vaale udhar ke kis ke phere phirte haiñ
pā-e-nigār ālūda kahīñ sāñjh ko 'mīr' ne dekhe the
sub.h tak ab bhī āñkhoñ meñ us kī paañv tere phirte haiñ
ishq ne KHwar-o-zalil kiya hum sar ko bikhere phirte hain
soz-o-dard-o-dagh-o-alam sab ji ko ghere phirte hain
har shab hun sar-gashta-o-nalan us bin kucha-e-barzan mein
yas nahin hai ab bhi dekhun kab din mere phirte hain
dil lashkar mein ek sipahi-zade ne hum se chhin liya
hum darwesh talab mein us ki Dere Dere phirte hain
be-KHud us ki zulf-o-ruKH ke kahe ko aap mein phir aae
hum kahte hain tasalli-e-dil ko sanjh sawere phirte hain
naqsh kisu ka darun-e-sina garm talab hain waise rang
jaisi KHayali pas liye taswir chitere phirte hain
barse agar shamshir saron par munh moDen zinhaar nahin
sidhe jaane wale udhar ke kis ke phere phirte hain
pa-e-nigar aaluda kahin sanjh ko 'mir' ne dekhe the
subh tak ab bhi aankhon mein us ki panw tere phirte hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1177
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.