jama-e-masti-e-ishq apna magar kam-gher tha
jāma-e-mastī-e-ishq apnā magar kam-gher thā
dāman-e-tar kā mire dariyā hī kā sā pher thā
der meñ ka.abe gayā maiñ ḳhānqah se ab kī baar
raah se maiḳhāne kī us raah meñ kuchh pher thā
bulbuloñ ne kyā gul-afshāñ 'mīr' kā marqad kiyā
duur se aaya nazar to phūloñ kā ik Dher thā
jama-e-masti-e-ishq apna magar kam-gher tha
daman-e-tar ka mere dariya hi ka sa pher tha
der mein kabe gaya main KHanqah se ab ki bar
rah se maiKHane ki us rah mein kuchh pher tha
bulbulon ne kya gul-afshan 'mir' ka marqad kiya
dur se aaya nazar to phulon ka ek Dher tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.