jaane de mat is qadar ab zulf-o-KHatt-o-Khaal dekh
jaane de mat is qadar ab zulf-o-ḳhatt-o-ḳhāl dekh
haal kuchh bhī tujh meñ hai ai 'mīr' apnā haal dekh
kyā mirī tūl-e-pareshānī kī hairat ham-nafas
āñkheñ to dī haiñ ḳhudā ne us ke lipTe baal dekh
dāman-e-sahrā meñ kyā vus.at hai jo dil meñ nahīñ
muuñd kar āñkheñ garebāñ meñ bhī Tuk sar Daal dekh
chashm-o-dil kā us se lag jaanā to thā jis tis tarah
jī bhī un bāloñ meñ uljhā aur ye janjāl dekh
garche us mah kī judā.ī meñ mujhe barsoñ hue
lekin ai aḳhtar-shanās ab kā hai kaisā saal dekh
kab nazar merī paḌegī us ke rū-e-ḳhūb par
ham-nashīñ Tuk tū bhī mus.haf khol kar to faal dekh
Thokareñ dil ko lage haiñ jab chale hai raah tū
ye ḳhirām-e-nāz hai zālim Tuk apnī chaal dekh
jaane de mat is qadar ab zulf-o-KHatt-o-KHal dekh
haal kuchh bhi tujh mein hai ai 'mir' apna haal dekh
kya meri tul-e-pareshani ki hairat ham-nafas
aankhen to di hain KHuda ne us ke lipTe baal dekh
daman-e-sahra mein kya wusat hai jo dil mein nahin
mund kar aankhen gareban mein bhi Tuk sar Dal dekh
chashm-o-dil ka us se lag jaana to tha jis tis tarah
ji bhi un baalon mein uljha aur ye janjal dekh
garche us mah ki judai mein mujhe barson hue
lekin ai aKHtar-shanas ab ka hai kaisa sal dekh
kab nazar meri paDegi us ke ru-e-KHub par
ham-nashin Tuk tu bhi mushaf khol kar to fal dekh
Thokaren dil ko lage hain jab chale hai rah tu
ye KHiram-e-naz hai zalim Tuk apni chaal dekh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1245
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.