josh-e-dil aae baham dida-e-giryan hue
josh-e-dil aa.e baham dīda-e-giryān hue
kitne ik ashk hue jam' ki tūfān hue
kyā chhupeñ shahr-e-mohabbat meñ tire ḳhāna-ḳharāb
ghar ke ghar un ke haiñ is bastī meñ vīrān hue
kis ne lī ruḳhsat-e-parvāz pas-az-marg nasīm
musht-e-par baaġh meñ aate hī pareshān hue
sabza-o-lāla-o-gul abr-o-havā hai mai de
saaqī ham tauba ke karne se pashemān hue
dekhte phirte haiñ muñh sab kā sahar ā.īne
jalva-gar ho ki ye tujh bin bahut hairān hue
dā’vā-e-ḳhush-dahanī garche use thā lekin
dekh kar muñh ko tire gul ke ta.iiñ kaan hue
jām-e-ḳhūñ bin nahīñ miltā hai hameñ sub.h ko aab
jab se is charḳh-e-siyah-kāsa ke mehmān hue
apne jī hī ne na chāhā ki piyeñ āb-e-hayāt
yuuñ to ham 'mīr' usī chashme pe be-jān hue
josh-e-dil aae baham dida-e-giryan hue
kitne ek ashk hue jam' ki tufan hue
kya chhupen shahr-e-mohabbat mein tere KHana-KHarab
ghar ke ghar un ke hain is basti mein viran hue
kis ne li ruKHsat-e-parwaz pas-az-marg nasim
musht-e-par bagh mein aate hi pareshan hue
sabza-o-lala-o-gul abr-o-hawa hai mai de
saqi hum tauba ke karne se pasheman hue
dekhte phirte hain munh sab ka sahar aaine
jalwa-gar ho ki ye tujh bin bahut hairan hue
da’wa-e-KHush-dahani garche use tha lekin
dekh kar munh ko tere gul ke tain kan hue
jam-e-KHun bin nahin milta hai hamein subh ko aab
jab se is charKH-e-siyah-kasa ke mehman hue
apne ji hi ne na chaha ki piyen aab-e-hayat
yun to hum 'mir' usi chashme pe be-jaan hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0506
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.