kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha
ka.ī din sulūk vidā.a kā mire dar pai dil zaar thā
kabhū dard thā kabhū daaġh thā kabhū zaḳhm thā kabhū vaar thā
dam-e-sub.h bazm-e-ḳhush jahāñ shab-e-ġham se kam na thī mehrbāñ
ki charāġh thā so tū duud thā jo patañg thā so ġhubār thā
dil ḳhasta-lohū jo ho gayā to bhalā huā ki kahāñ talak
kabhū soz-e-sīnā se daaġh thā kabhū dard-o-ġham se figār thā
dil-e-muztarib se guzar ga.ī shab-e-vasl apnī hī fikr meñ
na dimāġh thā na farāġh thā na shakeb thā na qarār thā
jo nigāh kī bhī palak uThā to hamāre dil se lahū bahā
ki vahīñ vo nāvak-e-be-ḳhatā kaso ke kaleje ke paar thā
ye tumhārī in dinoñ dostāñ mizha jis ke ġham meñ hai ḳhūñ-chakāñ
vahī āfat-e-dil-e-āshiqāñ kaso vaqt ham se bhī yaar thā
nahīñ tāza-dil kī shikastagī yahī dard thā yahī ḳhastagī
use jab se zauq-e-shikār thā use zaḳhm se sarokār thā
kabhū jā.egī jo udhar sabā to ye kahiyo us se ki bevafā
magar ek 'mīr' shikasta-pā tire bāġh-e-tāza meñ ḳhaar thā
kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha
kabhu dard tha kabhu dagh tha kabhu zaKHm tha kabhu war tha
dam-e-subh bazm-e-KHush jahan shab-e-gham se kam na thi mehrban
ki charagh tha so tu dud tha jo patang tha so ghubar tha
dil KHasta-lohu jo ho gaya to bhala hua ki kahan talak
kabhu soz-e-sina se dagh tha kabhu dard-o-gham se figar tha
dil-e-muztarib se guzar gai shab-e-wasl apni hi fikr mein
na dimagh tha na faragh tha na shakeb tha na qarar tha
jo nigah ki bhi palak uTha to hamare dil se lahu baha
ki wahin wo nawak-e-be-KHata kaso ke kaleje ke par tha
ye tumhaari in dinon dostan mizha jis ke gham mein hai KHun-chakan
wahi aafat-e-dil-e-ashiqan kaso waqt hum se bhi yar tha
nahin taza-dil ki shikastagi yahi dard tha yahi KHastagi
use jab se zauq-e-shikar tha use zaKHm se sarokar tha
kabhu jaegi jo udhar saba to ye kahiyo us se ki bewafa
magar ek 'mir' shikasta-pa tere bagh-e-taza mein KHar tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0045
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.