kin ne kaha ki mujhse bahut kam mila karo
kin ne kahā ki mujh se bahut kam milā karo
minnat bhī maiñ karūñ to na hargiz manā karo
bande se kī hai jin ne ye ḳhasmī ḳhudā kare
us se bhī tum ḳhusūmat-e-jānī rakhā karo
anqā sā shohrā huuñ pe haqīqat meñ kuchh nahīñ
tum duur hī se naam ko mere sunā karo
bīmārī-e-jigar kī shifā se to dil hai jam.a
ab dostī se maslahatan kuchh davā karo
ham be-ḳhudān-e-majlis-e-tasvīr ab ga.e
tum baiThe intizār hamārā kiyā karo
jī mārte haiñ nāz-o-karishma bilittifāq
jiinā mirā jo chāho to in ko judā karo
maiñ ne kahā ki phuñk rahī hai tan-badan meñ aag
bolā ki ishq hai na paḌe ab jalā karo
dil jaane kā fasāna zabānoñ pe rah gayā
ab baiThe duur se ye kahānī kahā karo
ab dekhūñ us ko maiñ to mirā jī na chal paḌe
tum ho faqīr 'mīr' kabhū ye duā karo
kin ne kaha ki mujh se bahut kam mila karo
minnat bhi main karun to na hargiz mana karo
bande se ki hai jin ne ye KHasmi KHuda kare
us se bhi tum KHusumat-e-jaani rakha karo
anqa sa shohra hun pe haqiqat mein kuchh nahin
tum dur hi se nam ko mere suna karo
bimari-e-jigar ki shifa se to dil hai jama
ab dosti se maslahatan kuchh dawa karo
hum be-KHudan-e-majlis-e-taswir ab gae
tum baiThe intizar hamara kiya karo
ji marte hain naz-o-karishma bilittifaq
jina mera jo chaho to in ko juda karo
main ne kaha ki phunk rahi hai tan-badan mein aag
bola ki ishq hai na paDe ab jala karo
dil jaane ka fasana zabanon pe rah gaya
ab baiThe dur se ye kahani kaha karo
ab dekhun us ko main to mera ji na chal paDe
tum ho faqir 'mir' kabhu ye dua karo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1859
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.