Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag

Meer Taqi Meer

kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā ishq-e-ḳhāna-soz ke dil meñ chhupī hai aag

    ik saare tan-badan meñ mire faq rahī hai aag

    gulshan bharā hai lāla-o-gul se agarche sab

    par us baġhair apne to bhā.eñ lagī hai aag

    paañv meñ paḌ ga.e haiñ phaphole mire tamām

    har gaam rāh-e-ishq meñ goyā dabī hai aag

    jal-jal ke sab imārat-e-dil ḳhaak ho ga.ī

    kaise nagar ko aah mohabbat ne hai aag

    ab garm-o-sard-e-dahr se yaksāñ nahīñ hai haal

    paanī hai dil hamārā kabhī to kabhī hai aag

    kyūñkar na tab.a-e-ātishīñ us hameñ jalā.e

    ham musht-e-ḳhas hukm rakheñ vo parī hai aag

    kab lag sake hai ishq-e-jahāñ-soz ko havas

    maahī ziist aab samundar hai aag

    roz-e-azal se aate haiñ hote jigar kabāb

    kyā āj-kal se ishq yaaro jalī hai aag

    angāre se na girte the aage jigar ke laḳht

    jab tab hamārī god meñ ab to bharī hai aag

    yā-rab hamesha jaltī rahtī haiñ chhātiyāñ

    ye kaisī āshiqoñ ke diloñ meñ rakhī hai aag

    afsurdagī-e-soḳhta-jānāñ hai qahr 'mīr'

    dāman ko Tuk hilā ki diloñ bujhī hai aag

    kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag

    ek sare tan-badan mein mere faq rahi hai aag

    gulshan bhara hai lala-o-gul se agarche sab

    par us baghair apne to bhaen lagi hai aag

    panw mein paD gae hain phaphole mere tamam

    har gam rah-e-ishq mein goya dabi hai aag

    jal-jal ke sab imarat-e-dil KHak ho gai

    kaise nagar ko aah mohabbat ne di hai aag

    ab garm-o-sard-e-dahr se yaksan nahin hai haal

    pani hai dil hamara kabhi to kabhi hai aag

    kyunkar na taba-e-atishin us ki hamein jalae

    hum musht-e-KHas ka hukm rakhen wo pari hai aag

    kab lag sake hai ishq-e-jahan-soz ko hawas

    mahi ki zist aab samundar ka ji hai aag

    roz-e-azal se aate hain hote jigar kabab

    kya aaj-kal se ishq ki yaro jali hai aag

    angare se na girte the aage jigar ke laKHt

    jab tab hamari god mein ab to bhari hai aag

    ya-rab hamesha jalti hi rahti hain chhatiyan

    ye kaisi aashiqon ke dilon mein rakhi hai aag

    afsurdagi-e-soKHta-jaanan hai qahr 'mir'

    daman ko Tuk hila ki dilon ki bujhi hai aag

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    kya ishq-e-KHana-soz ke dil mein chhupi hai aag Shamsur Rahman Faruqi

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0847
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now