liye dagh sar par jo aai thi shama
liye daaġh sar par jo aa.ī thī sham.a
sahar tak sab un ne hī khaa.ī thī sham.a
patange ke haq meñ to behtar huī
agar mom kī bhī banā.ī thī sham.a
na us mah se raushan thī shab bazm meñ
nikālā thā us ko chhupā.ī thī sham.a
vahī saath thā mere shab-gīr meñ
ki taab us ke ruḳh kī na laa.ī thī sham.a
patang aur vo kyoñ na bāham jaleñ
kahīñ se magar ik lag aa.ī thī sham.a
faroġh us ke chehre kā thā parda-dar
huā kyā jo ham ne bujhā.ī thī sham.a
taf-e-dil se 'mīr' ik kaf-e-ḳhāk hai
mirī ḳhaak par kyoñ jalā.ī thī sham.a
liye dagh sar par jo aai thi shama
sahar tak sab un ne hi khai thi shama
patange ke haq mein to behtar hui
agar mom ki bhi banai thi shama
na us mah se raushan thi shab bazm mein
nikala tha us ko chhupai thi shama
wahi sath tha mere shab-gir mein
ki tab us ke ruKH ki na lai thi shama
patang aur wo kyon na baham jalen
kahin se magar ek lag aai thi shama
farogh us ke chehre ka tha parda-dar
hua kya jo hum ne bujhai thi shama
taf-e-dil se 'mir' ek kaf-e-KHak hai
meri KHak par kyon jalai thi shama
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1645
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.