malum nahin kya hai lab-e-surKH-e-butan mein
ma.alūm nahīñ kyā hai lab-e-surḳh-e-butāñ meñ
us ātish-e-ḳhāmosh kā hai shor jahāñ meñ
yūsuf ke ta.iiñ dekh na kyoñ band hoñ bāzār
ye jins nikaltī nahīñ har ik kī dukāñ meñ
yak parcha-e-ash.ār se muñh bāñdhe sabhoñ ke
jaadū thā mire ḳhāme kī goyā ki zabāñ meñ
ye dil jo shikasta hai so be-lutf nahīñ hai
Thahro koī dam aan ke is TuuTe makāñ meñ
maiñ lag ke gale ḳhuub hī royā lab-e-jū par
miltī thī tarah us kī bahut sarv-e-ravāñ meñ
kyā qahr huā dil jo diyā laḌkoñ ko maiñ ne
charchā hai yahī shahr ke ab pīr-o-javāñ meñ
ve yāsman-e-tāza-shagufta meñ kahāñ 'mīr'
paa.e ga.e lutf us ke jo paañv ke nishāñ meñ
malum nahin kya hai lab-e-surKH-e-butan mein
us aatish-e-KHamosh ka hai shor jahan mein
yusuf ke tain dekh na kyon band hon bazar
ye jins nikalti nahin har ek ki dukan mein
yak parcha-e-ashaar se munh bandhe sabhon ke
jadu tha mere KHame ki goya ki zaban mein
ye dil jo shikasta hai so be-lutf nahin hai
Thahro koi dam aan ke is TuTe makan mein
main lag ke gale KHub hi roya lab-e-ju par
milti thi tarah us ki bahut sarw-e-rawan mein
kya qahr hua dil jo diya laDkon ko main ne
charcha hai yahi shahr ke ab pir-o-jawan mein
we yasman-e-taza-shagufta mein kahan 'mir'
pae gae lutf us ke jo panw ke nishan mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0908
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.